luu ke mausam men bahaaron ki havaa maangte hain
— Ali Sardar Jafri
Loo ke mausam men bahaaron kee havaa maangte hain
Ham kaf-e-dast-e-khizaan par bhee hinaa maangte hain
Ham-nasheen saada-dilee-haa-e-tamannaa mat poochh
Be-vafaaon se vafaaon kaa sila maangte hain
Kaash kar lete kabhi ka.aba-e-dil kaa bhee tavaaf
Wo jo patthar ke makaanon se khuda maangte hain
Jis men ho satvat-e-shaaheen kee parvaaz kaa rang
Lab-e-shaa.ir se wo bulbul kee navaa maangte hain
Taaki Dunya pe khule un kaa fareb-e-insaaf
Be-khataa ho ke khataaon kee sazaa maangte hain
Teergee jitnee baDhe husn ho afzoon teraa
Kahkashaan maang men maathe pe ziyaa maangte hain
Ye hai vaaraftagee-e-shauq kaa aalam 'sardaar'
Baarish-e-sang hai aur baad-e-sabaa maangte hain