masti e rindaana ham sairaabi e mai khaana ham
— Ali Sardar Jafri
Masti-e-rindaana ham sairaabi-e-mai-khaana ham
Gardish-e-taqdeer se hain gardish-e-paimaana ham
Khoon-e-dil se chashm-e-tar tak chashm-e-tar se taa-ba-khaak
Kar ga.e aakhir gul-o-gulzaar har veeraana ham
Kya balaa jabr-e-aseeree hai ki aazaadee men bhee
Dosh par apne liye phirte hain zindaan-khaana ham
Raah men faujon ke pahre sar pe talvaaron kee Chaaon
Aa.e hain zindaan men bhee baa-shaukat-e-shaahaana ham
MiTte miTte de ga.e ham zindagee ko rang-o-noor
Rafta rafta ban ga.e is ahd kaa afsaana ham
Yaa jagaa dete hain zarron ke dilon men mai-kade
Yaa banaa lete hain mehr-o-maah ko paimaana ham
Qaid ho kar aur bhee zindaan men uDtaa hai khayaal
Raqs zanjeeron men bhee karte hain aazaadaana ham