mausam e rang bhi hai fasl e khizaan bhi taarii
— Ali Sardar Jafri
Mausam-e-rang bhee hai fasl-e-khizaan bhee taaree
Dekhnaa Khoon ke dhabbe hain ki hai gul-kaaree
Us se har tarah se tazleel-e-bashar hotee hai
Baa.is-e-fakhr naheen muflisee-o-naa-daaree
Inqilaabee ho to hai faqr bhee tauqeer-e-hayaat
Varna hai aajizee-o-be-kasee-o-ayyaaree
Sho.ala-e-gul kee baDhaa detee hai lau-e-baad-e-bahaar
Tah-e-shabnam bhee dahak uThtee hai ik chingaaree
Lamha lamha hai ki hai qaafila-e-manzil-e-noor
Sarhad-e-shab men bhee farmaan-e-sahar hai jaaree
Tegh-o-khanjar ko ataa karte hain lafzon kee niyaam
Zulm kee karte hain jab ahl-e-sitam tayyaaree
Harf-e-'sardaar' men posheeda hain asraar-e-hayaat
Sher-e-'sardaar' men hai sarkashee-o-sar-shaaree
Sher-e-'sardaar' men hai sho.ala-e-be-baak kaa rang
Harf-e-'sardaar' men haq-goee-o-khush-guftaaree