nagma e zanjiir hai aur shahr e yaaraan in dinon
— Ali Sardar Jafri
Naghma-e-zanjeer hai aur shahr-e-yaaraan in dinon
Hai bahut ahl-e-junoon shor-e-bahaaraan in dinon
Us wafa-dushman se paimaan-e-wafa hai ustuvaar
Zer-e-sang-e-sakht hai phir dast-e-yaaraan in dinon
Mohtasib bhee halqa-e-rindaan kaa hai ummeed-vaar
Kam na ho jaa.e vaqaar-e-mai-gusaaraan in dinon
Tezee-e-tegh-e-adaa kee shohraten hain duur duur
Hai bahut aabaad koo-e-dil-figaaraan in dinon
Dosto pairaahan-e-jaan khoon-e-dil se surkh-tar
BaDh gaya hai iltifaat-e-gul-ezaaraan in dinon
Ahl-e-dil par baarish-e-lutf-e-nigaah-e-dil-navaaz
Mehrbaan hai ishq par chashm-e-nigaaraan in dinon
Hai gadaa-e-mai-kada ke sar pe taaj-e-khusravee
Kooza-gar kee gil hai khaak-e-shahr-e-yaaraan in dinon
Kya ajab ishrat-kadon par bijliyaan girne lageen
Hai bahut sarkash nigaah-e-sogvaaraan in dinon