nivaalaa maan hai resham ke kaar khaane men
— Ali Sardar Jafri
Maan hai resham ke kaar-khaane men
Baap masroof suutee mill men hai
Kokh se maan kee jab se niklaa hai
Bachcha kholee ke kaale dil men hai
Jab yahaan se nikal ke jaa.egaa
Kaar-khaanon ke kaam aa.egaa
Apne majboor peT kee khaatir
Bhuuk sarmaa.e kee baDhaa.egaa
Haath sone ke phuul uglenge
Jism chaandee kaa dhan luTaa.egaa
KhiDkiyaan hongee bank kee raushan
Khuun us kaa diye jalaa.egaa
Ye jo nanhaa hai bholaa-bhaalaa hai
Sirf sarmaa.e kaa nivaalaa hai
Poochhtee hai ye us kee khaamoshee
Koee mujh ko bachaane vaalaa hai
Man hai resham ke kar-KHane mein
Bap masruf suti mill mein hai
Kokh se man ki jab se nikla hai
Bachcha kholi ke kale dil mein hai
Jab yahan se nikal ke jaega
Kar-KHanon ke kaam aaega
Apne majbur peT ki KHatir
Bhuk sarmae ki baDhaega
Hath sone ke phul uglenge
Jism chandi ka dhan luTaega
KhiDkiyan hongi bank ki raushan
KHun us ka diye jalaega
Ye jo nanha hai bhola-bhaala hai
Sirf sarmae ka niwala hai
Puchhti hai ye us ki KHamoshi
Koi mujh ko bachane wala hai