pairaahan e sharar
— Ali Sardar Jafri
KhaDaa hai kaun ye pairaahan-e-sharar pahne
Badan hai chuur to maathe se Khoon jaaree hai
Zamaana guzraa ki farhaad o qais khatm hue
Ye kis pe ahl-e-jahaan hukm-e-sang-baaree hai
Yahaan to koi bhee sheereen adaa-nigaar nahin
Yahaan to koi bhee lailaa badan-bahaar nahin
Ye kis ke naam pe zakhmon kee laala-kaaree hai
Koee divaana hai letaa hai sach kaa naam ab tak
Fareb-o-makr ko kartaa nahin salaam ab tak
Hai baat saaf sazaa is kee sang-saaree hai
KhaDa hai kaun ye pairahan-e-sharar pahne
Badan hai chur to mathe se KHun jari hai
Zamana guzra ki farhad o qais KHatm hue
Ye kis pe ahl-e-jahan hukm-e-sang-bari hai
Yahan to koi bhi shirin ada-nigar nahin
Yahan to koi bhi laila badan-bahaar nahin
Ye kis ke nam pe zaKHmon ki lala-kari hai
Koi diwana hai leta hai sach ka nam ab tak
Fareb-o-makr ko karta nahin salam ab tak
Hai baat saf saza is ki sang-sari hai