parviin shaakir bahaar e husn javaan marg suurat e gul e tar
— Ali Sardar Jafri
Bahaar-e-husn javaan-marg soorat-e-gul-e-tar
Misaal-e-khaar magar umr-e-dard-e-ishq daraaz
Vo vidyaapatee kee shaa.iree kee
Maasoom-o-haseen-o-shokh raadhaa
Vo apne khayaal kaa kanhaiyaa
In shahron men DhoonDne ga.ee thee
Dastoor tha jin kaa sang-baaree
Vo 'faiz'-o-'firaaq' ziyaada
Taqdees-e-badan kee naghma-khvaan thee
Tahzeeb-e-badan kee raaz-daan thee
Gulnaar badan kee tahniyat men
Gulnaar labon se gul-fishaan thee
Lab-aashnaa lab ghazal ke misre
Jism-aashnaa jism nazm-paikar
Lafzon kee hatheliyaan hinaa.ee
Tashbeehon kee ungliyaan gulaabee
Sarsabz khayaal kaa gulistaan
Mub.ham se kuch aansuon ke chashme
Aahon kee wo halkee see havaa.en
Sad-barg havaa men muntashir the
Titlee thee ki raqs kar rahi thee
Aur dard ke baadalon se chhan kar
Naghmon kee phuvaare paD rahi thee
Pur-shor munaafiqat ke baazaar
Afvaahen farokht kar rahe the
Vo apnee shikasta shakhsiyat ko
Ash.aar kee chaadaron ke andar
Is tarah sameTne lagee thee
Ehsaas men aa rahi thee vus.at
Nazron kaa ufuq badal raha tha
Aur dard-e-jahaan-e-aadamiyat
TuuTe hue dil men Dhal raha tha
Is aalam-e-kaif-o-kam men ik din
Ik haadse kaa shikaar ho kar
Jab Khoon kaa kafan pahan liyaa to
UDteen saleeben nauha-khvaan thiin
Khaamosh tha karb-e-khud-kalaamee
Ab kuch nahin rah gaya hai baaqee
Baaqee hai sukhan kee dil-navaazee
2
Jannat men hai jashn-e-nau kaa saamaan
Mahfil men 'majaaz'-o-'baa.iran' hain
Maujood hain 'keats' aur 'shailee'
Ye marg-e-javaan ke saare aashiq
Khush hain ki zameen-e-paak se ik
Nau-marg-e-bahaar aa ga.ee hai
LipTee huee khaak kee hai khushboo
Aur saaya-fagan sahaab-e-rahmat
Bahaar-e-husn jawan-marg surat-e-gul-e-tar
Misal-e-KHar magar umr-e-dard-e-ishq daraaz
Wo widyapati ki shairi ki
Masum-o-hasin-o-shoKH radha
Wo apne KHayal ka kanhaiya
In shahron mein DhunDne gai thi
Dastur tha jin ka sang-bari
Wo 'faiz'-o-'firaq' ziyaada
Taqdis-e-badan ki naghma-KHwan thi
Tahzib-e-badan ki raaz-dan thi
Gulnar badan ki tahniyat mein
Gulnar labon se gul-fishan thi
Lab-ashna lab ghazal ke misre
Jism-ashna jism nazm-paikar
Lafzon ki hatheliyan hinai
Tashbihon ki ungliyan gulabi
Sarsabz KHayal ka gulistan
Mubham se kuch aansuon ke chashme
Aahon ki wo halki si hawaen
Sad-barg hawa mein muntashir the
Titli thi ki raqs kar rahi thi
Aur dard ke baadalon se chhan kar
Naghmon ki phuware paD rahi thi
Pur-shor munafiqat ke bazar
Afwahen faroKHt kar rahe the
Wo apni shikasta shaKHsiyat ko
Ashaar ki chadaron ke andar
Is tarah sameTne lagi thi
Ehsas mein aa rahi thi wusat
Nazron ka ufuq badal raha tha
Aur dard-e-jahan-e-adamiyat
TuTe hue dil mein Dhal raha tha
Is aalam-e-kaif-o-kam mein ek din
Ek hadse ka shikar ho kar
Jab KHun ka kafan pahan liya to
UDtin saliben nauha-KHwan thin
KHamosh tha karb-e-KHud-kalami
Ab kuch nahin rah gaya hai baqi
Baqi hai suKHan ki dil-nawazi
2
Jannat mein hai jashn-e-nau ka saman
Mahfil mein 'majaz'-o-'bairan' hain
Maujud hain 'keats' aur 'shaili'
Ye marg-e-jawan ke sare aashiq
KHush hain ki zamin-e-pak se ek
Nau-marg-e-bahaar aa gai hai
LipTi hui KHak ki hai KHushbu
Aur saya-fagan sahab-e-rahmat