saal e nau ye kis ne phone pe dii saal e nau ki tahniyat mujh ko

Ali Sardar Jafri

Ye kis ne phone pe dee saal-e-nau kee tahniyat mujh ko Tamannaa raqs kartee hai takhayyul gungunaataa hai Tasavvur ik na.e ehsaas kee jannat men le aayaa Nigaahon men koi rangeen chehra muskuraataa hai Jabeen kee chhooT paDtee hai falak ke maah-paaron par Ziyaa phailee huee hai sara aalam jagmagaataa hai Shafaq ke nuur se raushan hain mehraaben fazaaon kee Surayyaa kee jabeen zohra kaa aariz timtimaataa hai Puraane saal kee ThiThuree huee parchhaa.iyaan simTeen Na.e din kaa nayaa suraj ufuq par uThtaa aataa hai Zameen ne phir na.e sar se nayaa rakht-e-safar baandhaa Khushee men har qadam par aaftaab aankhen bichhaataa hai Hazaaron khvaahishen angDaa.iyaan letee hain siine men Jahaan-e-aarzoo kaa zarra zarra gungunaataa hai Umeeden Daal kar aankhon men aankhen muskuraatee hain Zamaana jumbish-e-mizhgaan se afsaane sunaataa hai Masarrat ke javaan mallaah kashtee le ke nikle hain Ghamon ke naa-khudaaon kaa safeena Dagmagaataa hai Khushee mujh ko bhee hai lekin main ye mahsoos kartaa huun Masarrat ke is aa.eene men gham bhee jhilmilaataa hai Hamaare daur-e-mahkoomee kee muddat ghaTtee jaatee hai Ghulaamee ke zamaane men izaafa hota jaataa hai Yahee andaaz gar baaqee hain apnee sust-gaamee ke Na jaane aur kitne saal aa.enge ghulaamee ke Ye kis ne phone pe di sal-e-nau ki tahniyat mujh ko Tamanna raqs karti hai taKHayyul gungunata hai Tasawwur ek nae ehsas ki jannat mein le aaya Nigahon mein koi rangin chehra muskuraata hai Jabin ki chhuT paDti hai falak ke mah-paron par Ziya phaili hui hai sara aalam jagmagata hai Shafaq ke nur se raushan hain mehraben fazaon ki Surayya ki jabin zohra ka aariz timtimata hai Purane sal ki ThiThuri hui parchhaiyan simTin Nae din ka naya suraj ufuq par uThta aata hai Zamin ne phir nae sar se naya raKHt-e-safar bandha KHushi mein har qadam par aaftab aankhen bichhata hai Hazaron KHwahishen angDaiyan leti hain sine mein Jahan-e-arzu ka zarra zarra gungunata hai Umiden Dal kar aankhon mein aankhen muskuraati hain Zamana jumbish-e-mizhgan se afsane sunata hai Masarrat ke jawan mallah kashti le ke nikle hain Ghamon ke na-KHudaon ka safina Dagmagata hai KHushi mujh ko bhi hai lekin main ye mahsus karta hun Masarrat ke is aaine mein gham bhi jhilmilata hai Hamare daur-e-mahkumi ki muddat ghaTti jati hai Ghulami ke zamane mein izafa hota jata hai Yahi andaz gar baqi hain apni sust-gami ke Na jaane aur kitne sal aaenge ghulami ke