sar e tuur
— Ali Sardar Jafri
Dil ko be-taab rakhtee hai ik aarzoo
Kam hai ye vus.at-e-aalam-e-rang-o-boo
Le chalee hai kidhar phir na.ee justujoo
Taa-ba hadd-e-nazar uD ke jaate hain ham
Vo jo haa.il the raahon men shams o qamar
Ham-safar un ko apna banaate hain ham
Hai zameen parda-e-laala-o-nastaran
Aasmaan parda-e-kahkashaan hai abhee
Raaz-e-fitrat huaa laakh ham par ayaan
Raaz-e-fitrat nihaan kaa nihaan hai abhee
Jis kee sadiyon udhar ham ne kee ibtidaa
Naa-tamaam apnee wo daastaan hai abhee
Manzilen uD ga.iin ban ke gard-e-safar
Rahguzaaron hee men kaarvaan hai abhee
Pee ke naakaamiyon kee sharaab-e-kuhan
Apnaa zauq-e-tajassus javaan hai abhee
Haath kaaTe ga.e jur.at-e-shauq par
Khoon-chakaan ho ke wo gul-fishaan ho ga.e
Hairaton ne lagaa.ee jo mohr-e-sukoot
Lab khamoshee men jaadoo bayaan ho ga.e
Raaste men jo kohsaar aa.e to ham
Aise taDpe ki sail-e-ravaan ho ga.e
Hain azal se zameen ke kure par amiir
Ho ke mahdood ham be-karaan ho ga.e
Zuaq-e-parvaaz bhee dil kee ik jast hai
Khaak se zeenat-e-aasmaan ho ga.e
Aql-chaalaak ne dee hai aa kar khabar
Ik shabistaan hai aivaan-e-mahtaab men
Muntazir hain nigaaraan-e-aatish-badan
Jagmagaatee fazaaon kee mehraab men
Kitne dilkash haseen khvaab bedaar hain
Maah o mirreekh kee chashm-e-be-khvaab men
Kheench phir zulf-e-maashooq-e-neel-goon
Le le shole ko phir dast-e-betaab men
Muzhda ho mah-jabeenaan-e-aflaak ko
Bazm-e-geetee kaa saahab nazar aa gaya
Tahniyat husn ko be-naqaabee kee do
Deeda-var aa gaya parda-daar aa gaya
Aasmaan se giraa tha jo kal Toot kar
Vo sitaara ba-dosh-e-qamar aa gaya
Le ke paimaana-e-dard-e-dil haath men
Mal ke chehre pe khoon-e-jigar aa gaya
Bazm-e-sayyaargaan-e-falak-sair men
Ik hunar-mand sayyaara-gar aa gaya
Shauq kee had magar chaand tak to nahin
Hai abhee rif.at-e-aasmaan aur bhee
Hai surayyaa ke peechhe surayyaa ravaan
Kahkashaan se pare kahkashaan aur bhee
Jhaanktee hain fazaaon ke pechaak se
Rang aur nuur kee vaadiyaan aur bhee
Aur bhee manzilen, aur bhee mushkilen
Hain abhee ishq ke imtihaan aur bhee
Aaj dast-e-junoon par hai sham-e-khirad
Do jahaan jis ke shole se ma.amoor hain
Le ke aa.en payaam-e-tuloo-e-sahar
Jitne suraj khalaaon men mastoor hain
Kah do barq-e-tajallee se ho jalva-gar
Aaj muusaa nahin ham sar-e-toor hain
Dil ko be-tab rakhti hai ek aarzu
Kam hai ye wusat-e-alam-e-rang-o-bu
Le chali hai kidhar phir nai justuju
Ta-ba hadd-e-nazar uD ke jate hain hum
Wo jo hail the rahon mein shams o qamar
Ham-safar un ko apna banate hain hum
Hai zamin parda-e-lala-o-nastaran
Aasman parda-e-kahkashan hai abhi
Raaz-e-fitrat hua lakh hum par ayan
Raaz-e-fitrat nihan ka nihan hai abhi
Jis ki sadiyon udhar hum ne ki ibtida
Na-tamam apni wo dastan hai abhi
Manzilen uD gain ban ke gard-e-safar
Rahguzaron hi mein karwan hai abhi
Pi ke nakaamiyon ki sharab-e-kuhan
Apna zauq-e-tajassus jawan hai abhi
Hath kaTe gae jurat-e-shauq par
KHun-chakan ho ke wo gul-fishan ho gae
Hairaton ne lagai jo mohr-e-sukut
Lab KHamoshi mein jadu bayan ho gae
Raste mein jo kohsar aae to hum
Aise taDpe ki sail-e-rawan ho gae
Hain azal se zamin ke kure par amir
Ho ke mahdud hum be-karan ho gae
Zuaq-e-parwaz bhi dil ki ek jast hai
KHak se zinat-e-asman ho gae
Aql-chaalak ne di hai aa kar KHabar
Ek shabistan hai aiwan-e-mahtab mein
Muntazir hain nigaran-e-atish-badan
Jagmagati fazaon ki mehrab mein
Kitne dilkash hasin KHwab bedar hain
Mah o mirriKH ki chashm-e-be-KHwab mein
Khinch phir zulf-e-mashuq-e-nil-gun
Le le shole ko phir dast-e-betab mein
Muzhda ho mah-jabinan-e-aflak ko
Bazm-e-giti ka sahab nazar aa gaya
Tahniyat husn ko be-naqabi ki do
Dida-war aa gaya parda-dar aa gaya
Aasman se gira tha jo kal TuT kar
Wo sitara ba-dosh-e-qamar aa gaya
Le ke paimana-e-dard-e-dil hath mein
Mal ke chehre pe KHun-e-jigar aa gaya
Bazm-e-sayyargan-e-falak-sair mein
Ek hunar-mand sayyara-gar aa gaya
Shauq ki had magar chand tak to nahin
Hai abhi rifat-e-asman aur bhi
Hai surayya ke pichhe surayya rawan
Kahkashan se pare kahkashan aur bhi
Jhankti hain fazaon ke pechaak se
Rang aur nur ki wadiyan aur bhi
Aur bhi manzilen, aur bhi mushkilen
Hain abhi ishq ke imtihan aur bhi
Aaj dast-e-junun par hai sham-e-KHirad
Do jahan jis ke shole se mamur hain
Le ke aaen payam-e-tulu-e-sahar
Jitne suraj KHalaon mein mastur hain
Kah do barq-e-tajalli se ho jalwa-gar
Aaj musa nahin hum sar-e-tur hain