shaakh e gul hai ki ye talvaar khinchii hai yaaro
— Ali Sardar Jafri
Shaakh-e-gul hai ki ye talvaar khinchee hai yaaro
Baagh men kaisee havaa aaj chalee hai yaaro
Kaun hai khauf-zada jashn-e-sahar se poochho
Raat kee nabz to ab chhooT chalee hai yaaro
Taak ke dil se dil-e-sheesha-o-paimaana tak
Ek ik buund men sau sham.a jalee hai yaaro
Chuum lenaa lab-e-laaleen kaa hai rindon ko ravaa
Rasm ye baada-e-gul-goon se chalee hai yaaro
Sirf ik ghuncha se sharminda hai aalam kee bahaar
Dil-e-khoon-gashta ke honTon pe hansee hai yaaro
Wo jo angoor ke khoshon men thee maanind-e-nu.joom
Dhal ke ab jaam men khursheed banee hai yaaro
Boo-e-khoon aatee hai miltaa hai bahaaron kaa suraagh
Jaane kis shokh sitamgar kee galee hai yaaro
Ye zameen jis se hai ham khaak-nasheenon kaa uruuj
Ye zameen chaand sitaaron men ghiree hai yaaro
Jur.a-e-talkh bhee hai jaam-gavaaraa bhee hai
Zindagee jashn-gah-e-baada-kashee hai yaaro