shama kaa mai kaa shafaq zaar kaa gulzaar kaa rang

Ali Sardar Jafri

Sham.a kaa mai kaa shafaq-zaar kaa gulzaar kaa rang Sab hain aur sab se judaa hai lab-e-deedaar kaa rang Aks-e-saaqee se chamak uTThee hai saaghar kee jabeen Aur Kuch tez huaa baada-e-gulnaar kaa rang Shaikh men himmat-e-rindaan-e-qadah-khvaar kahaan Ek hee jaam men aashufta hai dastaar kaa rang Un ke aane ko chhupaa.oon to chhupaa.oon kyuun kar Badlaa badlaa saa hai mere dar-o-deevaar kaa rang Shafaq-e-sub.h-e-shahaadat se hai taabinda jabeen Varna aalooda-e-khoon thaa ufuq-e-daar kaa rang Aaftaabon kee tarah jaagee hai insaan kee jot Jagmagaataa hai siraa parda-e-asraar kaa rang Vaqt kee ruuh munavvar hai navaa se meree Asr-e-nau men hai miree shokhee-e-afkaar kaa rang