shuuur
— Ali Sardar Jafri
Miree ragon men chahakte hue lahoo ko suno
Hazaaron laakhon sitaaron ne saaz chheDaa hai
Har ek buund men aafaaq gungunaate hain
Ye sharq o gharb shumaal o junoob past o buland
Lahoo men gharq hain aur shash-jahaat kaa aahang
Zameen kee peng tuloo-e-nujoom-o-shams-o-qamar
Ghuroob-e-shaam zavaal-e-shab o numood-e-sahar
Tamaam aalam-e-raanaa.ee bazm-e-barnaa.ee
Kanval kee tarah khile hain lahoo kee jheelon men
Hai kaa.enaat mire dil kee dhaDkanon men asiir
Main ek zarra bisaat-e-nizaam-e-shamsee par
Main ek nuqta sar-e-kaa.enaat-e-vahm-o-shu.oor
Ek qatra anal-bahr hai sadaa meree
Main kaa.enaat men tanhaa hoon aaftaab kee tarah
Mire lahoo men ravaan ved bhee hain qur.aan bhee
Shajar hajar bhee hain sahraa bhee hain gulistaan bhee
Ki main hoon vaaris-e-taareekh-e-asr-e-insaanee
Qadam qadam pe jahannam qadam qadam pe bahisht
Meri ragon mein chahakte hue lahu ko suno
Hazaron lakhon sitaron ne saz chheDa hai
Har ek bund mein aafaq gungunate hain
Ye sharq o gharb shumal o junub past o buland
Lahu mein gharq hain aur shash-jahat ka aahang
Zamin ki peng tulu-e-nujum-o-shams-o-qamar
Ghurub-e-sham zawal-e-shab o numud-e-sahar
Tamam aalam-e-ranai bazm-e-barnai
Kanwal ki tarah khile hain lahu ki jhilon mein
Hai kaenat mere dil ki dhaDkanon mein asir
Main ek zarra bisat-e-nizam-e-shamsi par
Main ek nuqta sar-e-kaenat-e-wahm-o-shuur
Ek qatra anal-bahr hai sada meri
Main kaenat mein tanha hun aaftab ki tarah
Mere lahu mein rawan wed bhi hain quran bhi
Shajar hajar bhi hain sahra bhi hain gulistan bhi
Ki main hun waris-e-tariKH-e-asr-e-insani
Qadam qadam pe jahannam qadam qadam pe bahisht