subh har ujaale pe raat kaa gumaan kyuun hai

Ali Sardar Jafri

Sub.h har ujaale pe raat kaa gumaan kyuun hai Jal rahi hai kya dhartee arsh pe dhuaan kyuun hai Khanjaron kee saazish par kab talak ye khaamoshee Ruuh kyuun hai yakh-basta naghma be-zabaan kyuun hai Raasta nahin chalte sirf khaak uDaate hain Kaarvaan se bhee aage gard-e-kaarvaan kyuun hai Kuch kamee nahin lekin koi kuch to batlaao Ishq is sitamgar kaa shauq kaa ziyaan kyuun hai Ham to ghar se nikle the jeetne ko dil sab kaa Tegh haath men kyuun hai dosh par kamaan kyuun hai Ye hai bazm-e-mai-noshee is men sab baraabar hain Phir hisaab-e-saaqee men suud kyuun ziyaan kyuun hai Den kis nigah kee hai kin labon kee barakat hai Tum men 'ja.afaree' itnee shokhee-e-bayaan kyuun hai