tumhaaraa shahr

Ali Sardar Jafri

Tumhaaraa shahr tumhaare badan kee khushboo se Mahak raha tha, har ik baam tum se raushan tha Havaa tumhaaree tarah har ravish pe chaltee thee Tumhaare honTon se hanstee thiin narm-lab kaliyaan Ataa huee thee sahar ko tumhaaree seem-tanee Milee thee shaam o shafaq ko tumhaaree gul-badanee Tumhaaraa naam tasavvur bhee tha, takhayyul bhee Yaqeen bhi, shauq bhi, ummeed bhi, tamannaa bhee Sajee thee zulf-e-javaan aarzoo ke phoolon se Umeed-vaar the har samt aashiqon ke giroh Magar ye kya hai ki har koocha aaj veeraan hai Galee galee men hain faulaad-paa siyah ifreet Chaman chaman men saDee laash kaa ta.affun hai Havaa.en garm hain baarood kaa andheraa hai Khabar nahin ki yahaan se kidhar ko jaanaa hai Tumhaaraa shahr, tumhaare badan kee khushboo ko Taras raha hai, har ik baam teera-e-saamaan hai Na raushnee hai, na nik.hat, na naghma hai, na navaa Har ik ravish pe havaa chal rahi hai nauha-kunaan Sahar kee gul-badanee hai lahoo kaa pairaahan Na shaam hai na sahar sirf ik siyaah kafan Tumhaare shahr kee uryaaniyon ko Dhaanptaa hai Khabar nahin ki yahaan se kidhar ko jaanaa hai Vo ik juloos saa ik moD par nazar aayaa Koee aziim janaaza guzarne vaalaa hai Havaa men naala-o-fariyaad kee hai kaifiyat Har ek aankh men aansoo, har ek honT pe aah Dilon kaa nauha-e-gham siskiyon men Dhaltaa hai Vo dard hai ki koi khul ke ro nahin saktaa Magar janaaza kaheen bhee nazar nahin aataa Kafan-farosh bhee hain, gorkan bhee hain lekin Koee bataa nahin saktaa ki kis kee mayyat hai Koee bataa nahin saktaa kidhar gaya taaboot Koee bataa nahin saktaa kahaan hai qabristaan Chalo qareeb se dekhen ye bad-naseeb hain kaun Clerk hain jo abhee daftaron se nikle hain Tamaam ek see shaklen hain hindison kee tarah Kisaan hain jo abhee ketiyon se palTe hain Nikal ke aa.e hain mazdoor kaar-khaanon se Aur un kee pusht pe afsurda kholiyon kee qataar Suron pe Udhte dhuen ke siyaah-rang alam Barhana bachchon ke rone kee dardnaak sadaa Juloos-e-gham hai janaaza ba-dosh chaltaa hai Magar janaaza kidhar hai nazar nahin aataa Khabar nahin ki yahaan se kidhar ko jaanaa hai Tumhaara shahr tumhaare badan ki KHushbu se Mahak raha tha, har ek baam tum se raushan tha Hawa tumhaari tarah har rawish pe chalti thi Tumhaare honTon se hansti thin narm-lab kaliyan Ata hui thi sahar ko tumhaari sim-tani Mili thi sham o shafaq ko tumhaari gul-badani Tumhaara nam tasawwur bhi tha, taKHayyul bhi Yaqin bhi, shauq bhi, ummid bhi, tamanna bhi Saji thi zulf-e-jawan aarzu ke phulon se Umid-war the har samt aashiqon ke giroh Magar ye kya hai ki har kucha aaj viran hai Gali gali mein hain faulad-pa siyah ifrit Chaman chaman mein saDi lash ka taffun hai Hawaen garm hain barud ka andhera hai KHabar nahin ki yahan se kidhar ko jaana hai Tumhaara shahr, tumhaare badan ki KHushbu ko Taras raha hai, har ek baam tira-e-saman hai Na raushni hai, na nikhat, na naghma hai, na nawa Har ek rawish pe hawa chal rahi hai nauha-kunan Sahar ki gul-badani hai lahu ka pairahan Na sham hai na sahar sirf ek siyah kafan Tumhaare shahr ki uryaniyon ko Dhanpta hai KHabar nahin ki yahan se kidhar ko jaana hai Wo ek julus sa ek moD par nazar aaya Koi azim janaza guzarne wala hai Hawa mein nala-o-fariyaad ki hai kaifiyat Har ek aankh mein aansu, har ek honT pe aah Dilon ka nauha-e-gham siskiyon mein Dhalta hai Wo dard hai ki koi khul ke ro nahin sakta Magar janaza kahin bhi nazar nahin aata Kafan-farosh bhi hain, gorkan bhi hain lekin Koi bata nahin sakta ki kis ki mayyat hai Koi bata nahin sakta kidhar gaya tabut Koi bata nahin sakta kahan hai qabristan Chalo qarib se dekhen ye bad-nasib hain kaun Clerk hain jo abhi daftaron se nikle hain Tamam ek si shaklen hain hindison ki tarah Kisan hain jo abhi ketiyon se palTe hain Nikal ke aae hain mazdur kar-KHanon se Aur un ki pusht pe afsurda kholiyon ki qatar Suron pe Udhte dhuen ke siyah-rang alam Barhana bachchon ke rone ki dardnak sada Julus-e-gham hai janaza ba-dosh chalta hai Magar janaza kidhar hai nazar nahin aata KHabar nahin ki yahan se kidhar ko jaana hai