vahii hai vahshat vahii hai nafrat aakhir is kaa kya hai sabab
— Ali Sardar Jafri
Vahee hai vahshat vahee hai nafrat aakhir is kaa kya hai sabab
Insaan insaan bahut raTaa hai insaan insaan banegaa kab
Ved upnishad purze purze giitaa qur.aan varaq varaq
Raam-o-kirishn-o-gautam-o-yazdaan zakhm-raseeda sab ke sab
Ab tak aisa milaa na koi dil kee pyaas bujhaataa jo
Yuun mai-khaana-chashm bahut hain bahut hain yuun to saaqee-lab
Jis kee tegh hai Dunya us kee jis kee laaThee us kee bhains
Sab qaatil hain sab maqtool hain sab mazloom hain zaalim sab
Khanjar khanjar qaatil abroo dilbar haath maseehaa honT
Lahoo lahoo hai shaam-e-tamannaa aansoo aansoo sub.h-e-tarab
Dekhen din phirte hain kab tak dekhen phir kab milte hain
Dil se dil aankhon se aankhen haath se haath aur lab se lab
Zakhmee sarhad zakhmee qaumen zakhmee insaan zakhmee mulk
Harf-e-haq kee saleeb uThaa.e koi maseeh to aa.e ab