vatan se duur yaaraan e vatan ki yaad aatii hai
— Ali Sardar Jafri
Vatan se duur yaaraan-e-vatan kee yaad aatee hai
Qafas men ham-navaayaan-e-chaman kee yaad aatee hai
Ye kaisaa zulm hai phir saaya-e-deevaar-e-zindaan men
Vatan ke saaya-e-sarv-o-saman kee yaad aatee hai
Tasavvur jis se rangeen hai takhayyul jis se raqsaan hai
Ghazaal-e-hind-o-aahoo-e-khutan kee yaad aatee hai
Kabhi lailaa-o-sheereen gaah heer-o-shohnee ban kar
Niraale yaar kee baanke sajan kee yaad aatee hai
Kahaan kaa khauf-e-zindaan dahshat-e-daar-o-rasan kaisee
Qad-e-maashooq-o-zulf-e-pur-shikan kee yaad aatee hai