vufuur e shauq ki rangiin hikaayaten mat puuchh
— Ali Sardar Jafri
Vufoor-e-shauq kee rangeen hikaayaten mat poochh
Labon kaa pyaar nigah kee shikaayaten mat poochh
Kisee nigaah kee nas nas men tairte nishtar
Wo ibtidaa-e-mohabbat kee raahaten mat poochh
Wo neem-shab wo javaan husn wo vufoor-e-niyaaz
Nigaah o dil ne jo kee hain ibaadaten mat poochh
Hujoom-e-gham men bhee jiinaa sikhaa diyaa ham ko
Gham-e-jahaan kee hain kya kya inaayaten mat poochh
Ye sirf ek qayaamat hai chain kee karvaT
Dabee hain dil men hazaaron qayaamaten mat poochh
Bas ek harf-e-baghaavat zabaan se niklaa thaa
Shaheed ho ga.iin kitnee rivaayaten mat poochh
Ab aaj qissa-e-daaraa-o-jam kaa kya hogaa
Hamaare paas hain apnee hikaayaten mat poochh
Nishaan-e-hiTlari-o-qaisaree naheen miltaa
Jo ibraton ne likhee hain ibaaraten mat poochh
Nashaat-e-zeest faqat ahl-e-gham kee hai meeraas
Milengee aur abhee kitnee daulaten mat poochh