yaad aae hain ahd e junoon ke khoe hue dildaar bahut
— Ali Sardar Jafri
Yaad aa.e hain ahd-e-junoon ke kho.e hue dildaar bahut
Un se duur basaa.ee bastee jin se hamen thaa pyaar bahut
Ek ik kar ke khilee thiin kaliyaan ek ik kar ke phuul ga.e
Ek ik kar ke ham se bichhDe baagh-e-jahaan men yaar bahut
Husn ke jalve aam hain lekin zauq-e-nazaara aam naheen
Ishq bahut mushkil hai lekin ishq ke da.avedaar bahut
Zakhm kaho yaa khiltee kaliyaan haath magar guldasta hai
Baagh-e-wafa se ham ne chune hain phuul bahut aur khaar bahut
Jo bhee milaa hai le aa.e hain daagh-e-dil yaa daagh-e-jigar
Vaadee vaadee manzil manzil bhaTke hain 'sardaar' bahut