zulm ki Kuch miiaad nahin hai
— Ali Sardar Jafri
Zulm kee Kuch mee.aad naheen hai
Daad naheen fariyaad naheen hai
Qatl hue hain ab tak kitne
Koo-e-sitam ko yaad naheen hai
Aakhir ro.en kis ko kis ko
Kaun hai jo barbaad naheen hai
Qaid chaman bhee ban jaataa hai
Murgh-e-chaman aazaad naheen hai
Lutf hee kya gar apne muqaabil
Satvat-e-barq-o-baad naheen hai
Sab hon shaadaan sab hon khandaan
Tanhaa koee shaad naheen hai
Daavat-e-rang-o-nik.hat hai ye
Khanda-e-gul barbaad naheen hai