abul alaa maarrii kahte hain kabhi gosht na khaataa tha maarrii

Allama Iqbal

Kahte hain kabhi gosht na khaataa tha ma.arree Phal-phool pe kartaa tha hamesha guzar-auqaat Ik dost ne bhoonaa huaa teetar use bhejaa Shaayad ki wo shaatir isee tarkeeb se ho maat Ye khvaan-e-tar-o-taaza ma.arree ne jo dekhaa Kahne lagaa wo saahib-e-ghufraan-o-luzoomaat Ai murghak-e-bechaara zaraa ye to bataa too Teraa wo gunah kya tha ye hai jis kee mukaafaat? Afsos-sad-afsos ki shaaheen na banaa too Dekhe na tiree aankh ne fitrat ke ishaaraat! Taqdeer ke qaazee kaa ye fatvaa hai azal se Hai jurm-e-za.eefee kee sazaa marg-e-mufaajaat! Kahte hain kabhi gosht na khata tha marri Phal-phul pe karta tha hamesha guzar-auqat Ek dost ne bhuna hua titar use bheja Shayad ki wo shatir isi tarkib se ho mat Ye KHwan-e-tar-o-taza marri ne jo dekha Kahne laga wo sahib-e-ghufran-o-luzumat Ai murghak-e-bechaara zara ye to bata tu Tera wo gunah kya tha ye hai jis ki mukafat? Afsos-sad-afsos ki shahin na bana tu Dekhe na teri aankh ne fitrat ke ishaaraat! Taqdir ke qazi ka ye fatwa hai azal se Hai jurm-e-zaifi ki saza marg-e-mufajat!