aflaak se aataa hai naalon kaa javaab aakhir
— Allama Iqbal
Aflaak se aataa hai naalon kaa javaab aakhir
Karte hain khitaab aakhir uThte hain hijaab aakhir
Ahvaal-e-mohabbat men Kuch farq naheen aisa
Soz o tab-o-taab avval soz o tab-o-taab aakhir
Main tujh ko bataataa hoon taqdeer-e-umam kya hai
Shamsheer-o-sinaan avval taa.oos-o-rubaab aakhir
Mai-khaana-e-europe ke dastoor niraale hain
Laate hain suroor avval dete hain sharaab aakhir
Kya dabdaba-e-naadir kya shaukat-e-taimooree
Ho jaate hain sab daftar gharq-e-mai-e-naab aakhir
Khalvat kee ghaDee guzree jalvat kee ghaDee aa.ee
ChhuTne ko hai bijlee se aaghosh-e-sahaab aakhir
Thaa zabt bahut mushkil is sail-e-ma.aanee kaa
Kah Daale qalandar ne asraar-e-kitaab aakhir