asar kare na kare sun to le mirii fariyaad

Allama Iqbal

Asar kare na kare sun to le miree fariyaad Nahin hai daad kaa taalib ye banda-e-aazaad Ye musht-e-khaak ye sarsar ye vus.at-e-aflaak Karam hai yaa ki sitam teree lazzat-e-eejaad Thahar sakaa na havaa-e-chaman men khema-e-gul Yahee hai fasl-e-bahaaree yahee hai baad-e-muraad Qusoor-vaar ghareeb-ud-dayaar hoon lekin Tiraa kharaaba farishte na kar sake aabaad Miree jafaa-talabee ko duaa.en deta hai Wo dasht-e-saada wo teraa jahaan-e-be-buniyaad Khatar-pasand tabee.at ko saazgaar nahin Wo gulsitaan ki jahaan ghaat men na ho sayyaad Maqaam-e-shauq tire qudsiyon ke bas kaa nahin Unheen kaa kaam hai ye jin ke hausle hain ziyaad