digar guun hai jahaan taaron ki gardish tez hai saaqii
— Allama Iqbal
Digar-goon hai jahaan taaron kee gardish tez hai saaqee
Dil-e-har-zarra men ghaughaa-e-rustaa-khez hai saaqee
Mataa-e-deen-o-daanish luT ga.ee allaah-vaalon kee
Ye kis kaafir-adaa kaa ghamza-e-khoon-rez hai saaqee
Vahee dereena beemaaree vahee naa-mohkamee dil kee
Ilaaj is kaa vahee aab-e-nashaat-angez hai saaqee
Haram ke dil men soz-e-aarzoo paidaa naheen hota
Ki paidaa.ee tiree ab tak hijaab-aamez hai saaqee
Na uTThaa phir koee 'roomee' ajam ke laala-zaaron se
Vahee aab-o-gil-e-eeraan vahee tabrez hai saaqee
Naheen hai naa-umeed 'iqbaal' apnee kisht-e-veeraan se
Zaraa nam ho to ye miTTee bahut zarkhez hai saaqee
Faqeer-e-raah ko bakhshe ga.e asraar-e-sultaanee
Bahaa meree navaa kee daulat-e-parvez hai saaqee