ejaaz hai kisi kaa yaa gardish e zamaana
— Allama Iqbal
Ejaaz hai kisee kaa yaa gardish-e-zamaana
TuuTaa hai asia men sehr-e-firangiyaana
Taameer-e-aashiyaan se main ne ye raaz paayaa
Ahl-e-navaa ke haq men bijlee hai aashiyaana
Ye bandagee khuda.ee wo bandagee gadaa.ee
Yaa banda-e-khuda ban yaa banda-e-zamaana
Ghaafil na ho khudee se kar apnee paasbaanee
Shaayad kisee haram kaa too bhee hai aastaana
Ai laa ilaah ke vaaris baaqee naheen hai tujh men
Guftaar-e-dilbaraana kirdaar-e-qaahiraana
Teree nigaah se dil seenon men kaanpte the
Khoyaa gaya hai teraa jazb-e-qalandaraana
Raaz-e-haram se shaayad 'iqbaal' baa-khabar hai
Hain is kee guftugoo ke andaaz mahramaana