ek nau javaan ke naam tire sofe hain afrangii tire qaaliin hain iiraanii

Allama Iqbal

Tire sofe hain afrangee tire qaaleen hain eeraanee Lahoo mujh ko rulaatee hai javaanon kee tan-aasaanee Imaarat kiyaa shikva-e-khusravee bhee ho to kya haasil Na zor-e-haidaree tujh men na istighnaa-e-salmaanee Na DhoonD us chiiz ko tahzeeb-e-haazir kee tajallee men Ki paayaa main ne istighnaa men meraaj-e-musalmaanee Uqaabee ruuh jab bedaar hotee hai javaanon men Nazar aatee hai un ko apnee manzil aasmaanon men Na ho naumeed naumeedee zavaal-e-ilm-o-irfaan hai Umeed-e-mard-e-momin hai khuda ke raaz-daanon men Naheen teraa nasheman qasr-e-sultaanee ke gumbad par Too shaaheen hai baseraa kar pahaaDon kee chaTaanon men Tere sofe hain afrangi tere qalin hain irani Lahu mujh ko rulati hai jawanon ki tan-asani Imarat kiya shikwa-e-KHusrawi bhi ho to kya hasil Na zor-e-haidari tujh mein na istighna-e-salmani Na DhunD us chiz ko tahzib-e-hazir ki tajalli mein Ki paya main ne istighna mein meraj-e-musalmani Uqabi ruh jab bedar hoti hai jawanon mein Nazar aati hai un ko apni manzil aasmanon mein Na ho naumid naumidi zawal-e-ilm-o-irfan hai Umid-e-mard-e-momin hai KHuda ke raaz-danon mein Nahin tera nasheman qasr-e-sultani ke gumbad par Tu shahin hai basera kar pahaDon ki chaTanon mein