ek pahaad aur gilahrii koi pahaad ye kahtaa tha ik gilahrii se
— Allama Iqbal
Koi pahaaD ye kahtaa tha ik gilahree se
Tujhe ho sharm to paanee men jaa ke Doob mare
Zaraa see chiiz hai is par ghuroor! kya kahnaa!
Ye aql aur ye samajh ye shu.oor! kya kahnaa!
Khudaa kee shaan hai naa-cheez! chiiz ban baiThen!
Jo be-shu.oor hon yuun baa-tameez ban baiThen!
Tiree bisaat hai kya meree shaan ke aage
Zameen hai past miree aan-baan ke aage
Jo baat mujh men hai tujh ko wo hai naseeb kahaan
Bhalaa pahaaD kahaan jaanvar ghareeb kahaan!
Kahaa ye sun ke gilahree ne munh sambhaal zaraa
Ye kachchee baaten hain dil se inhen nikaal zaraa!
Jo main baDee nahin teree tarah to kya parvaa!
Naheen hai too bhee to aakhir miree tarah chhoTaa
Har ek chiiz se paidaa khuda kee qudarat hai
Koee baDaa koi chhoTaa ye us kee hikmat hai
BaDaa jahaan men tujh ko banaa diyaa us ne
Mujhe darakht pe chaDhnaa sikhaa diyaa us ne
Qadam uThaane kee taaqat nahin zaraa tujh men
Niree baDaa.ee hai! khoobee hai aur kya tujh men
Jo too baDaa hai to mujh saa hunar dikhaa mujh ko
Ye chhaaliyaa hee zaraa tod kar dikhaa mujh ko
Naheen hai chiiz nikammee koi zamaane men
Koee buraa nahin qudarat ke kaar-khaane men
Koi pahaD ye kahta tha ek gilahri se
Tujhe ho sharm to pani mein ja ke Dub mare
Zara si chiz hai is par ghurur! kya kahna!
Ye aql aur ye samajh ye shuur! kya kahna!
KHuda ki shan hai na-chiz! chiz ban baiThen!
Jo be-shuur hon yun ba-tamiz ban baiThen!
Teri bisat hai kya meri shan ke aage
Zamin hai past meri aan-ban ke aage
Jo baat mujh mein hai tujh ko wo hai nasib kahan
Bhala pahaD kahan jaanwar gharib kahan!
Kaha ye sun ke gilahri ne munh sambhaal zara
Ye kachchi baaten hain dil se inhen nikal zara!
Jo main baDi nahin teri tarah to kya parwa!
Nahin hai tu bhi to aaKHir meri tarah chhoTa
Har ek chiz se paida KHuda ki qudarat hai
Koi baDa koi chhoTa ye us ki hikmat hai
BaDa jahan mein tujh ko bana diya us ne
Mujhe daraKHt pe chaDhna sikha diya us ne
Qadam uThane ki taqat nahin zara tujh mein
Niri baDai hai! KHubi hai aur kya tujh mein
Jo tu baDa hai to mujh sa hunar dikha mujh ko
Ye chhaaliya hi zara tod kar dikha mujh ko
Nahin hai chiz nikammi koi zamane mein
Koi bura nahin qudarat ke kar-KHane mein