gesuu e taabdaar ko aur bhi taabdaar kar
— Allama Iqbal
Gesoo-e-taabdaar ko aur bhee taabdaar kar
Hosh o khirad shikaar kar qalb o nazar shikaar kar
Ishq bhee ho hijaab men husn bhee ho hijaab men
Yaa to khud aashkaar ho yaa mujhe aashkaar kar
Too hai muheet-e-be-karaan main hoon zaraa see aabjoo
Yaa mujhe ham-kanaar kar yaa mujhe be-kanaar kar
Main hoon sadaf to tere haath mere guhar kee aabroo
Main hoon khazaf to too mujhe gauhar-e-shaahvaar kar
Naghma-e-nau-bahaar agar mere naseeb men na ho
Us dam-e-neem-soz ko taa.irak-e-bahaar kar
Baagh-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diyaa thaa kyuun
Kaar-e-jahaan daraaz hai ab miraa intizaar kar
Roz-e-hisaab jab miraa pesh ho daftar-e-amal
Aap bhee sharmsaar ho mujh ko bhee sharmsaar kar