gulzaar e hast e buud na begaana vaar dekh
— Allama Iqbal
Gulzaar-e-hast-e-bood na begaana-vaar dekh
Hai dekhne kee chiiz ise baar baar dekh
Aayaa hai too jahaan men misaal-e-sharaar dekh
Dam de na jaa.e hastee-e-naa-paa.edaar dekh
Maanaa ki teree diid ke qaabil naheen hoon main
Too meraa shauq dekh miraa intizaar dekh
Kholee hain zauq-e-deed ne aankhen tiree agar
Har rahguzar men naqsh-e-kaf-e-paa-e-yaar dekh