hamdardii tahnii pe kisi shajar ki tanhaa
— Allama Iqbal
Tahnee pe kisee shajar kee tanhaa
Bulbul tha koi udaas baiThaa
Kahtaa tha ki raat sar pe aa.ee
UDne chugne men din guzaaraa
Pahunchoon kis tarah aashiyaan tak
Har chiiz pe chhaa gaya andheraa
Sun kar bulbul kee aah-o-zaaree
Jugnoo koi paas hee se bolaa
Haazir hoon madad ko jaan-o-dil se
KiiDaa hoon agarche main zaraa saa
Kyaa gham hai jo raat hai andheree
Main raah men raushnee karoongaa
Allaah ne dee hai mujh ko mash.al
Chamkaa ke mujhe diyaa banaayaa
Hain log vahee jahaan men achchhe
Aate hain jo kaam doosron ke
Tahni pe kisi shajar ki tanha
Bulbul tha koi udas baiTha
Kahta tha ki raat sar pe aai
UDne chugne mein din guzara
Pahunchun kis tarah aashiyan tak
Har chiz pe chha gaya andhera
Sun kar bulbul ki aah-o-zari
Jugnu koi pas hi se bola
Hazir hun madad ko jaan-o-dil se
KiDa hun agarche main zara sa
Kya gham hai jo raat hai andheri
Main rah mein raushni karunga
Allah ne di hai mujh ko mashal
Chamka ke mujhe diya banaya
Hain log wahi jahan mein achchhe
Aate hain jo kaam dusron ke