har shai musaafir har chiiz raahii

Allama Iqbal

Har shai musaafir har chiiz raahee Kya chaand taare kya murgh o maahee Too mard-e-maidaan too meer-e-lashkar Nuuree huzooree tere sipaahee Kuch qadr apnee too ne na jaanee Ye be-savaadee ye kam-nigaahee Dunya-e-doon kee kab tak ghulaamee Yaa raahibee kar yaa paadshaahee Peer-e-haram ko dekhaa hai main ne Kirdaar-e-be-soz guftaar vaahee