hazaar khauf ho lekin zabaan ho dil ki rafiiq
— Allama Iqbal
Hazaar khauf ho lekin zabaan ho dil kee rafeeq
Yahee raha hai azal se qalandaron kaa tareeq
Hujoom kyuun hai ziyaada sharaab-khaane men
Faqat ye baat ki peer-e-mughaan hai mard-e-khaleeq
Ilaaj-e-zof-e-yaqeen in se ho naheen saktaa
Ghareeb agarche hain 'raazee' ke nukta-haa-e-daqeeq
Mureed-e-saada to ro ro ke ho gaya taa.ib
Khuda kare ki mile shaikh ko bhee ye taufeeq
Usee tilism-e-kuhan men asiir hai aadam
Baghal men us kee hain ab tak butaan-e-ahd-e-ateeq
Mire liye to hai iqraar-e-bil-lisaan bhee bahut
Hazaar shukr ki mullaa hain saahib-e-tasdeeq
Agar ho ishq to hai kufr bhee musalmaanee
Na ho to mard-e-musalmaan bhee kaafir o zindeeq