hindustaanii bachchon kaa qaumii giit chishtii ne jis zameen men paigaam e haq sunaayaa
— Allama Iqbal
Chishtee ne jis zameen men paighaam-e-haq sunaayaa
Naanak ne jis chaman men vahdat kaa giit gaayaa
Taataariyon ne jis ko apna vatan banaayaa
Jis ne hijaaziyon se dasht-e-arab chhuDaayaa
Meraa vatan vahee hai meraa vatan vahee hai
Yunaaniyon ko jis ne hairaan kar diyaa tha
Saare jahaan ko jis ne ilm o hunar diyaa tha
MiTTee ko jis kee haq ne zar kaa asar diyaa tha
Turkon kaa jis ne daaman heeron se bhar diyaa tha
Meraa vatan vahee hai meraa vatan vahee hai
TuuTe the jo sitaare faaras ke aasmaan se
Phir taab de ke jis ne chamkaa.e kahkashaan se
Vahdat kee lai sunee thee dunya ne jis makaan se
Meer-e-arab ko aa.ee ThanDee havaa jahaan se
Meraa vatan vahee hai meraa vatan vahee hai
Bande kaleem jis ke parbat jahaan ke siinaa
Nooh-e-nabee kaa aa kar Thahraa jahaan safeenaa
Rif.at hai jis zameen kee baam-e-falak kaa ziinaa
Jannat kee zindagee hai jis kee fazaa men jiinaa
Meraa vatan vahee hai meraa vatan vahee hai
Chishti ne jis zamin mein paigham-e-haq sunaya
Nanak ne jis chaman mein wahdat ka git gaya
Tatariyon ne jis ko apna watan banaya
Jis ne hijaziyon se dasht-e-arab chhuDaya
Mera watan wahi hai mera watan wahi hai
Yunaniyon ko jis ne hairan kar diya tha
Sare jahan ko jis ne ilm o hunar diya tha
MiTTi ko jis ki haq ne zar ka asar diya tha
Turkon ka jis ne daman hiron se bhar diya tha
Mera watan wahi hai mera watan wahi hai
TuTe the jo sitare faras ke aasman se
Phir tab de ke jis ne chamkae kahkashan se
Wahdat ki lai suni thi duniya ne jis makan se
Mir-e-arab ko aai ThanDi hawa jahan se
Mera watan wahi hai mera watan wahi hai
Bande kalim jis ke parbat jahan ke sina
Nuh-e-nabi ka aa kar Thahra jahan safina
Rifat hai jis zamin ki baam-e-falak ka zina
Jannat ki zindagi hai jis ki faza mein jina
Mera watan wahi hai mera watan wahi hai