ibliis ki majlis e shuuraa ibliis
— Allama Iqbal
Iblees
Ye anaasir kaa puraanaa khel ye dunya-e-doon
Saakinaan-e-arsh-e-aazam kee tamannaaon kaa Khoon
Is kee barbaadee pe aaj aamaada hai wo kaarsaaz
Jis ne is kaa naam rakhaa tha jahaan-e-kaaf-o-noon
Main ne dikhlaayaa farangee ko mulookiyat kaa khvaab
Main ne toDaa masjid-o-dair-o-kaleesaa kaa fusoon
Main ne naadaaron ko sikhlaayaa sabaq taqdeer kaa
Main ne mun.im ko diyaa sarmaaya daaree kaa junoon
Kaun kar saktaa hai is kee aatish-e-sozaan ko sard
Jis ke hangaamon men ho iblees kaa soz-e-daroon
Jis kee shaakhen hon hamaaree aabiyaaree se buland
Kaun kar saktaa hai is nakhl-e-kuhan ko sar-nigoon
Pahlaa musheer
Is men kya shak hai ki mohkam hai ye ibleesee nizaam
Pukhta-tar is se hue khoo-e-ghulaamee men avaam
Hai azal se in ghareebon ke muqaddar men sujood
In kee fitrat kaa taqaazaa hai namaaz-e-be-qayaam
Aarzoo avval to paidaa ho nahin saktee kaheen
Ho kaheen paidaa to mar jaatee hai yaa rahtee hai khaam
Ye hamaaree sa.ee-e-paiham kee karaamat hai ki aaj
Soofee-o-mullaa mulookiyyat ke bande hain tamaam
Tab-e-mashriq ke liye mauzoon yahee afyoon thee
Varna qavvaalee se kuch kam-tar nahin ilm-e-kalaam
Hai tavaaf-o-haj kaa hangaama agar baaqee to kya
Kund ho kar rah ga.ee momin kee tegh-e-be-niyaam
Kis kee nau-meedee pe hujjat hai ye farmaan-e-jadeed
Hai jihaad is daur men mard-e-musalmaan par haraam
Doosraa musheer
Khair hai sulataanee-e-jamhoor kaa ghaughaa ki shar
Too jahaan ke taaza fitnon se nahin hai baa-khabar
Pahlaa musheer
Huun magar meree jahaan-beenee bataatee hai mujhe
Jo mulookiyat kaa ik parda ho kya is se khatar
Ham ne khud shaahee ko pahnaayaa hai jamhooree libaas
Jab zaraa aadam huaa hai khud-shanaas-o-khud-nigar
Kaarobaar-e-shahryaaree kee haqeeqat aur hai
Ye vajood-e-meer-o-sultaan par nahin hai munhasir
Majlis-e-millat ho yaa parvez kaa darbaar ho
Hai wo sultaan ghair kee khetee pe ho jis kee nazar
Too ne kya dekhaa nahin maghrib kaa jamhooree nizaam
Chehra raushan andaroon changez se taareek-tar
Teesraa musheer
Rooh-e-sultaanee rahe baaqee to phir kya iztiraab
Hai magar kya is yahoodee kee sharaarat kaa javaab
Vo kaleem-e-be-tajallee wo maseeh-e-be-saleeb
Niist paighambar va-lekin dar baghal daarad kitaab
Kyaa bataa.oon kya hai kaafir kee nigaah-e-parda-soz
Mashriq-o-maghrib kee qaumon ke liye roz-e-hisaab
Is se baDh kar aur kya hogaa tabee.at kaa fasaad
ToD dee bandon ne aaqaaon ke khemon kee tanaab
Chauthaa musheer
ToD is kaa roomat-ul-kubraa ke aivaanon men dekh
Aal-e-ceaser ko dikhaayaa ham ne phir ceaser kaa khvaab
Kaun bahr-e-room kee maujon se hai lipTaa huaa
Gaah baalad-choon-sanobar gaah naalad-choon-rubaab
Teesraa musheer
Main to is kee aaqibat-beenee kaa kuch qaa.il nahin
Jis ne afrangee siyaasat ko kya yuun be-hijaab
Paanchvaan musheer iblees ko mukhaatab kar ke
Ai tire soz-e-nafas se kaar-e-aalam ustuvaar
Too ne jab chaahaa kiyaa har pardagee ko aashkaar
Aab-o-gil teree haraarat se jahaan-e-soz-o-saaz
Ablah-e-jannat tiree ta.aleem se daanaa-e-kaar
Tujh se baDh kar fitrat-e-aadam kaa wo mahram nahin
Saada-dil bandon men jo mash.hoor hai parvardigaar
Kaam tha jin kaa faqat taqdees-o-tasbeeh-o-tavaaf
Teree ghairat se abad tak sar-nigoon-o-sharmsaar
Garche hain tere mureed afrang ke saahir tamaam
Ab mujhe un kee faraasat par nahin hai aitbaar
Vo yahoodee fitna-gar wo rooh-e-mazdak kaa burooz
Har qabaa hone ko hai is ke junoon se taar taar
Zaagh dashtee ho raha hai ham-sar-e-shaaheen-o-chargh
Kitnee sur.at se badaltaa hai mizaaj-e-rozgaar
Chhaa ga.ee aashufta ho kar vus.at-e-aflaak par
Jis ko naadaanee se ham samjhe the ik musht-e-ghubaar
Fitna-e-fardaa kee haibat kaa ye aalam hai ki aaj
Kaanpte hain kohsaar-o-murgh-zaar-o-jooebaar
Mere aaqaa wo jahaan zer-o-zabar hone ko hai
Jis jahaan kaa hai faqat teree siyaadat par madaar
Iblis
Ye anasir ka purana khel ye duniya-e-dun
Sakinan-e-arsh-e-azam ki tamannaon ka KHun
Is ki barbaadi pe aaj aamada hai wo karsaz
Jis ne is ka nam rakha tha jahan-e-kaf-o-nun
Main ne dikhlaya farangi ko mulukiyat ka KHwab
Main ne toDa masjid-o-dair-o-kalisa ka fusun
Main ne nadaron ko sikhlaya sabaq taqdir ka
Main ne munim ko diya sarmaya dari ka junun
Kaun kar sakta hai is ki aatish-e-sozan ko sard
Jis ke hangamon mein ho iblis ka soz-e-darun
Jis ki shaKHen hon hamari aabiyari se buland
Kaun kar sakta hai is naKHl-e-kuhan ko sar-nigun
Pahla mushir
Is mein kya shak hai ki mohkam hai ye iblisi nizam
PuKHta-tar is se hue KHu-e-ghulami mein awam
Hai azal se in gharibon ke muqaddar mein sujud
In ki fitrat ka taqaza hai namaz-e-be-qayam
Aarzu awwal to paida ho nahin sakti kahin
Ho kahin paida to mar jati hai ya rahti hai KHam
Ye hamari sai-e-paiham ki karamat hai ki aaj
Sufi-o-mulla mulukiyyat ke bande hain tamam
Tab-e-mashriq ke liye mauzun yahi afyun thi
Warna qawwali se kuch kam-tar nahin ilm-e-kalam
Hai tawaf-o-haj ka hangama agar baqi to kya
Kund ho kar rah gai momin ki tegh-e-be-niyam
Kis ki nau-midi pe hujjat hai ye farman-e-jadid
Hai jihad is daur mein mard-e-musalman par haram
Dusra mushir
KHair hai sulatani-e-jamhur ka ghaugha ki shar
Tu jahan ke taza fitnon se nahin hai ba-KHabar
Pahla mushir
Hun magar meri jahan-bini batati hai mujhe
Jo mulukiyat ka ek parda ho kya is se KHatar
Hum ne KHud shahi ko pahnaya hai jamhuri libas
Jab zara aadam hua hai KHud-shanas-o-KHud-nigar
Karobar-e-shahryari ki haqiqat aur hai
Ye wajud-e-mir-o-sultan par nahin hai munhasir
Majlis-e-millat ho ya parwez ka darbar ho
Hai wo sultan ghair ki kheti pe ho jis ki nazar
Tu ne kya dekha nahin maghrib ka jamhuri nizam
Chehra raushan andarun changez se tarik-tar
Tisra mushir
Ruh-e-sultani rahe baqi to phir kya iztirab
Hai magar kya is yahudi ki shararat ka jawab
Wo kalim-e-be-tajalli wo masih-e-be-salib
Nist paighambar wa-lekin dar baghal darad kitab
Kya bataun kya hai kafir ki nigah-e-parda-soz
Mashriq-o-maghrib ki qaumon ke liye roz-e-hisab
Is se baDh kar aur kya hoga tabiat ka fasad
ToD di bandon ne aaqaon ke KHemon ki tanab
Chautha mushir
ToD is ka rumat-ul-kubra ke aiwanon mein dekh
Aal-e-ceaser ko dikhaya hum ne phir ceaser ka KHwab
Kaun bahr-e-rum ki maujon se hai lipTa hua
Gah baalad-chun-sanobar gah nalad-chun-rubab
Tisra mushir
Main to is ki aaqibat-bini ka kuch qail nahin
Jis ne afrangi siyasat ko kya yun be-hijab
Panchwan mushir iblis ko muKHatab kar ke
Ai tere soz-e-nafas se kar-e-alam ustuwar
Tu ne jab chaha kiya har pardagi ko aashkar
Aab-o-gil teri hararat se jahan-e-soz-o-saz
Ablah-e-jannat teri talim se dana-e-kar
Tujh se baDh kar fitrat-e-adam ka wo mahram nahin
Sada-dil bandon mein jo mashhur hai parwardigar
Kaam tha jin ka faqat taqdis-o-tasbih-o-tawaf
Teri ghairat se abad tak sar-nigun-o-sharmsar
Garche hain tere murid afrang ke sahir tamam
Ab mujhe un ki farasat par nahin hai e'tibar
Wo yahudi fitna-gar wo ruh-e-mazdak ka buruz
Har qaba hone ko hai is ke junun se tar tar
Zagh dashti ho raha hai ham-sar-e-shahin-o-chargh
Kitni surat se badalta hai mizaj-e-rozgar
Chha gai aashufta ho kar wusat-e-aflak par
Jis ko nadani se hum samjhe the ek musht-e-ghubar
Fitna-e-farda ki haibat ka ye aalam hai ki aaj
Kanpte hain kohsar-o-murgh-zar-o-juebar
Mere aaqa wo jahan zer-o-zabar hone ko hai
Jis jahan ka hai faqat teri siyaadat par madar