jaaved ke naam dayaar e ishq men apna maqaam paidaa kar

Allama Iqbal

Dayaar-e-ishq men apna maqaam paidaa kar Nayaa zamaana na.e sub.h o shaam paidaa kar Khudaa agar dil-e-fitrat-shanaas de tujh ko Sukoot-e-laala-o-gul se kalaam paidaa kar UThaa na sheeshagaraan-e-farang ke ehsaan Sifaal-e-hind se miinaa o jaam paidaa kar Main shaakh-e-taak hoon meree ghazal hai meraa samar Mire samar se mai-e-laala-faam paidaa kar Miraa tareeq ameeree nahin faqeeree hai Khudee na bech ghareebee men naam paidaa kar Dayar-e-ishq mein apna maqam paida kar Naya zamana nae subh o sham paida kar KHuda agar dil-e-fitrat-shanas de tujh ko Sukut-e-lala-o-gul se kalam paida kar UTha na shishagaran-e-farang ke ehsan Sifal-e-hind se mina o jam paida kar Main shaKH-e-tak hun meri ghazal hai mera samar Mere samar se mai-e-lala-fam paida kar Mera tariq amiri nahin faqiri hai KHudi na bech gharibi mein nam paida kar