jamhuuriyat is raaz ko ik mard e farangii ne kiyaa faash
— Allama Iqbal
Is raaz ko ik mard-e-farangee ne kiyaa faash
Har-chand ki daanaa ise kholaa nahin karte
Jamhooriyat ik tarz-e-hukoomat hai ki jis men
Bandon ko ginaa karte hain taulaa nahin karte
Is raaz ko ek mard-e-farangi ne kiya fash
Har-chand ki dana ise khola nahin karte
Jamhuriyat ek tarz-e-hukumat hai ki jis mein
Bandon ko gina karte hain taula nahin karte