javaab e shikva dil se jo baat nikaltii hai asar rakhtii hai

Allama Iqbal

Dil se jo baat nikaltee hai asar rakhtee hai Par nahin taaqat-e-parvaaz magar rakhtee hai Qudsi-ul-asl hai rif.at pe nazar rakhtee hai Khaak se uThtee hai gardoon pe guzar rakhtee hai Ishq tha fitnagar o sarkash o chaalaak miraa Aasmaan chiir gaya naala-e-bebaak miraa Peer-e-gardoon ne kahaa sun ke kaheen hai koi Bole sayyaare sar-e-arsh-e-bareen hai koi Chaand kahtaa tha nahin ahl-e-zameen hai koi Kahkashaan kahtee thee posheeda yaheen hai koi Kuchh jo samjhaa mire shikve ko to rizvaan samjhaa Mujh ko jannat se nikaalaa huaa insaan samjhaa Thee farishton ko bhee hairat ki ye awaaz hai kya Arsh vaalon pe bhee khultaa nahin ye raaz hai kya Taa-sar-e-arsh bhee insaan kee tag-o-taaz hai kya Aa ga.ee khaak kee Chutki ko bhee parvaaz hai kya Ghaafil aadaab se sukkaan-e-zameen kaise hain Shokh o gustaakh ye pastee ke makeen kaise hain Is qadar shokh ki allaah se bhee barham hai Thaa jo masjood-e-malaa.ik ye vahee aadam hai Aalim-e-kaif hai daanaa-e-rumooz-e-kam hai Haan magar ijz ke asraar se naa-mahram hai Naaz hai taaqat-e-guftaar pe insaanon ko Baat karne kaa saleeqa nahin naa-daanon ko Aa.ee awaaz gham-angez hai afsaana tiraa Ashk-e-betaab se labrez hai paimaana tiraa Aasmaan-geer huaa naara-e-mastaana tiraa Kis qadar shokh-zabaan hai dil-e-deevaana tiraa Shukr shikve ko kiyaa husn-e-adaa se too ne Ham-sukhan kar diyaa bandon ko khuda se too ne Ham to maa.il-ba-karam hain koi saa.il hee nahin Raah dikhlaa.en kise rah-rav-e-manzil hee nahin Tarbiyat aam to hai jauhar-e-qaabil hee nahin Jis se ta.ameer ho aadam kee ye wo gil hee nahin Koee qaabil ho to ham shaan-e-ka.ee dete hain DhoonDne vaalon ko dunya bhee na.ee dete hain Haath be-zor hain ilhaad se dil khoogar hain Ummatee baa.is-e-rusvaa.i-e-paighambar hain But-shikan uTh ga.e baaqee jo rahe but-gar hain Thaa braaheem pidar aur pisar aazar hain Baada-aashaam na.e baada nayaa khum bhee na.e Haram-e-kaaba nayaa but bhee na.e tum bhee na.e Vo bhee din the ki yahee maaya-e-raanaa.ee tha Naazish-e-mausam-e-gul laala-e-sahraa.ee tha Jo musalmaan tha allaah kaa saudaai tha Kabhee mahboob tumhaaraa yahee harjaa.ee tha Kisee yakjaa.ee se ab ahd-e-ghulaamee kar lo Millat-e-ahmad-e-mursil ko maqaamee kar lo Kis qadar tum pe giraan sub.h kee bedaaree hai Ham se kab pyaar hai haan niind tumhen pyaaree hai Tab-e-aazaad pe qaid-e-ramazaan bhaaree hai Tumheen kah do yahee aa.een-e-vafaadaaree hai Qaum maz.hab se hai maz.hab jo nahin tum bhee nahin Jazb-e-baaham jo nahin mahfil-e-anjum bhee nahin Jin ko aataa nahin dunya men koi fan tum ho Naheen jis qaum ko parvaa-e-nasheman tum ho Bijliyaan jis men hon aasooda wo khirman tum ho Bech khaate hain jo aslaaf ke madfan tum ho Ho niko naam jo qabron kee tijaarat kar ke Kyaa na bechoge jo mil jaa.en sanam patthar ke Safha-e-dahr se baatil ko miTaayaa kis ne Nau-e-insaan ko ghulaamee se chhuDaayaa kis ne Mere ka.abe ko jabeenon se basaayaa kis ne Mere qur.aan ko seenon se lagaayaa kis ne The to aabaa wo tumhaare hee magar tum kya ho Haath par haath dhare muntazir-e-fardaa ho Kyaa kahaa bahr-e-musalmaan hai faqat waada-e-hoor Shikva bejaa bhee kare koi to laazim hai shu.oor Adl hai faatir-e-hastee kaa azal se dastoor Muslim aa.iin huaa kaafir to mile huur o qusoor Tum men hooron kaa koi chaahne vaalaa hee nahin Jalva-e-toor to maujood hai muusaa hee nahin Manfa.at ek hai is qaum kaa nuqsaan bhee ek Ek hee sab kaa nabee diin bhee eemaan bhee ek Haram-e-paak bhee allaah bhee qur.aan bhee ek Kuchh baDee baat thee hote jo musalmaan bhee ek Firqa-bandee hai kaheen aur kaheen zaaten hain Kyaa zamaane men panapne kee yahee baaten hain Kaun hai taarik-e-aa.een-e-rasool-e-mukhtaar Maslahat waqt kee hai kis ke amal kaa me.aar Kis kee aankhon men samaayaa hai shi.aar-e-aghyaar Ho ga.ee kis kee nigah tarz-e-salaf se be-zaar Qalb men soz nahin ruuh men ehsaas nahin Kuchh bhee paighaam-e-mohammad kaa tumhen paas nahin Jaa ke hote hain masaajid men saf-aaraa to ghareeb Zahmat-e-roza jo karte hain gavaaraa to ghareeb Naam letaa hai agar koi hamaaraa to ghareeb Parda rakhtaa hai agar koi tumhaaraa to ghareeb Umaraa nashsha-e-daulat men hain ghaafil ham se Zinda hai millat-e-baizaa ghorabaa ke dam se Vaa.iz-e-qaum kee wo pukhta-khayaalee na rahi Barq-e-tab.ee na rahi shola-maqaalee na rahi Rah ga.ee rasm-e-azaan rooh-e-bilaalee na rahi Falsafa rah gaya talqeen-e-ghazaalee na rahi Masjiden marsiyaan-khvaan hain ki namaazee na rahe Yaanee wo sahib-e-ausaaf-e-hijaazee na rahe Shor hai ho ga.e dunya se musalmaan naabood Ham ye kahte hain ki the bhee kaheen muslim maujood Vaz.a men tum ho nasaaraa to tamaddun men hunood Ye musalmaan hain jinhen dekh ke sharmaa.en yahood Yuun to sayyad bhee ho mirzaa bhee ho afghaan bhee ho Tum sabhee kuch ho bataao to musalmaan bhee ho Dam-e-taqreer thee muslim kee sadaaqat bebaak Adl us kaa tha qavee laus-e-maraa.aat se paak Shajar-e-fitrat-e-muslim tha hayaa se namnaak Thaa shujaa.at men wo ik hasti-e-fauq-ul-idraak Khud-gudaazee nam-e-kaifiyat-e-sahbaa-yash buud Khaalee-az-khesh shudan soorat-e-meenaa-yash buud Har musalmaan rag-e-baatil ke liye nashtar tha Us ke aa.eena-e-hastee men amal jauhar tha Jo bharosaa tha use quvvat-e-baazoo par tha Hai tumhen maut kaa Dar us ko khuda kaa Dar tha Baap kaa ilm na beTe ko agar azbar ho Phir pisar qaabil-e-meeraas-e-pidar kyoonkar ho Har koi mast-e-mai-e-zauq-e-tan-aasaanee hai Tum musalmaan ho ye andaaz-e-musalmaanee hai Haidaree faqr hai ne daulat-e-usmaanee hai Tum ko aslaaf se kya nisbat-e-roohaanee hai Vo zamaane men muazziz the musalmaan ho kar Aur tum khvaar hue taarik-e-qur.aan ho kar Tum ho aapas men ghazabnaak wo aapas men raheem Tum khataa-kaar o khataa-been wo khataa-posh o kareem Chaahte sab hain ki hon auj-e-surayyaa pe muqeem Pahle vaisaa koi paidaa to kare qalb-e-saleem Takht-e-faghfoor bhee un kaa tha sareer-e-ka.e bhee Yuun hee baaten hain ki tum men wo hamiyat hai bhee Khud-kushee sheva tumhaaraa wo ghayoor o khuddaar Tum ukhuvvat se gurezaan wo ukhuvvat pe nisaar Tum ho guftaar saraapaa wo saraapaa kirdaar Tum taraste ho kalee ko wo gulistaan ba-kanaar Ab talak yaad hai qaumon ko hikaayat un kee Naqsh hai safha-e-hastee pe sadaaqat un kee Misl-e-anjum ufuq-e-qaum pe raushan bhee hue But-e-hindee kee mohabbat men birhman bhee hue Shauq-e-parvaaz men mahjoor-e-nasheman bhee hue Be-amal the hee javaan diin se bad-zan bhee hue In ko tahzeeb ne har band se aazaad kiyaa Laa ke ka.abe se sanam-khaane men aabaad kiyaa Qais zahmat-kash-e-tanhaa.i-e-sahraa na rahe Shahr kee khaa.e havaa baadiya-paimaa na rahe Vo to deevaana hai bastee men rahe yaa na rahe Ye zarooree hai hijaab-e-rukh-e-lailaa na rahe Gila-e-zaur na ho shikva-e-bedaad na ho Ishq aazaad hai kyuun husn bhee aazaad na ho Ahd-e-nau barq hai aatish-zan-e-har-khirman hai Aiman is se koi sahraa na koi gulshan hai Is na.ee aag kaa aqvaam-e-kuhan eendhan hai Millat-e-khatm-e-rusul shola-ba-pairaahan hai Aaj bhee ho jo braaheem kaa eemaan paidaa Aag kar saktee hai andaaz-e-gulistaan paidaa Dekh kar rang-e-chaman ho na pareshaan maalee Kaukab-e-ghuncha se shaakhen hain chamakne vaalee Khas o khaashaak se hota hai gulistaan khaalee Ghul-bar-andaaz hai khoon-e-shohdaa kee laalee Rang gardoon kaa zaraa dekh to unnaabee hai Ye nikalte hue suraj kee ufuq-taabee hai Ummaten gulshan-e-hastee men samar-cheeda bhee hain Aur mahroom-e-samar bhee hain khizaan-deeda bhee hain SaikDon nakhl hain kaaheeda bhee baaleeda bhee hain SaikDon batn-e-chaman men abhee posheeda bhee hain Nakhl-e-islaam namoona hai birau-mandee kaa Phal hai ye saikDon sadiyon kee chaman-bandee kaa Paak hai gard-e-vatan se sar-e-daamaan teraa Too wo yoosuf hai ki har misr hai kan.aan teraa Qaafila ho na sakegaa kabhi veeraan teraa Ghair yak-baang-e-daraa kuch nahin saamaan teraa Nakhl-e-shama astee o dar shola do-resha-e-too Aaqibat-soz bavad saaya-e-andesha-e-too Too na miT jaa.egaa eeraan ke miT jaane se Nashsha-e-mai ko ta.alluq nahin paimaane se Hai ayaan yurish-e-taataar ke afsaane se Paasbaan mil ga.e ka.abe ko sanam-khaane se Kashti-e-haq kaa zamaane men sahaaraa too hai Asr-e-nau-raat hai dhundlaa saa sitaaraa too hai Hai jo hangaama bapaa yurish-e-bulghaaree kaa Ghaafilon ke liye paighaam hai bedaaree kaa Too samajhtaa hai ye saamaan hai dil-aazaaree kaa Imtihaan hai tire eesaar kaa khuddaaree kaa Kyuun hiraasaan hai saheel-e-faras-e-aadaa se Noor-e-haq bujh na sakegaa nafas-e-aadaa se Chashm-e-aqvaam se makhfee hai haqeeqat teree Hai abhee mahfil-e-hastee ko zaroorat teree Zinda rakhtee hai zamaane ko haraarat teree Kaukab-e-qismat-e-imkaan hai khilaafat teree Vaqt-e-fursat hai kahaan kaam abhee baaqee hai Noor-e-tauheed kaa itmaam abhee baaqee hai Misl-e-boo qaid hai ghunche men pareshaan ho jaa Rakht-bar-dosh havaa-e-chamanistaan ho jaa Hai tunak-maaya too zarre se bayaabaan ho jaa Naghma-e-mauj hai hangaama-e-toofaan ho jaa Quvvat-e-ishq se har past ko baalaa kar de Dahr men ism-e-mohammad se ujaalaa kar de Ho na ye phuul to bulbul kaa tarannum bhee na ho Chaman-e-dahr men kaliyon kaa tabassum bhee na ho Ye na saaqee ho to phir mai bhee na ho khum bhee na ho Bazm-e-tauheed bhee dunya men na ho tum bhee na ho Khema-e-aflaak kaa istaada isee naam se hai Nabz-e-hastee tapish-aamaada isee naam se hai Dasht men daaman-e-kohsaar men maidaan men hai Bahr men mauj kee aaghosh men toofaan men hai Chiin ke shahr maraaqash ke bayaabaan men hai Aur posheeda musalmaan ke eemaan men hai Chashm-e-aqvaam ye nazzaara abad tak dekhe Rif.at-e-shaan-e-rafaanaa-lakaa-zikrak dekhe Mardum-e-chashm-e-zameen yaanee wo kaalee dunya Vo tumhaare shohdaa paalne vaalee dunya Garmee-e-mehr kee parvarda hilaalee dunya Ishq vaale jise kahte hain bilaalee dunya Tapish-andoz hai is naam se paare kee tarah Ghota-zan nuur men hai aankh ke taare kee tarah Aql hai teree sipar ishq hai shamsheer tiree Mire darvesh khilaafat hai jahaangeer tiree Maa-sivaa-allaah ke liye aag hai takbeer tiree Too musalmaan ho to taqdeer hai tadbeer tiree Kee mohammad se wafa too ne to ham tere hain Ye jahaan chiiz hai kya lauh-o-qalam tere hain Dil se jo baat nikalti hai asar rakhti hai Par nahin taqat-e-parwaz magar rakhti hai Qudsi-ul-asl hai rifat pe nazar rakhti hai KHak se uThti hai gardun pe guzar rakhti hai Ishq tha fitnagar o sarkash o chaalak mera Aasman chir gaya nala-e-bebak mera Pir-e-gardun ne kaha sun ke kahin hai koi Bole sayyare sar-e-arsh-e-barin hai koi Chand kahta tha nahin ahl-e-zamin hai koi Kahkashan kahti thi poshida yahin hai koi Kuchh jo samjha mere shikwe ko to rizwan samjha Mujh ko jannat se nikala hua insan samjha Thi farishton ko bhi hairat ki ye aawaz hai kya Arsh walon pe bhi khulta nahin ye raaz hai kya Ta-sar-e-arsh bhi insan ki tag-o-taz hai kya Aa gai KHak ki chuTki ko bhi parwaz hai kya Ghafil aadab se sukkan-e-zamin kaise hain ShoKH o gustaKH ye pasti ke makin kaise hain Is qadar shoKH ki allah se bhi barham hai Tha jo masjud-e-malaik ye wahi aadam hai Aalim-e-kaif hai dana-e-rumuz-e-kam hai Han magar ijz ke asrar se na-mahram hai Naz hai taqat-e-guftar pe insanon ko Baat karne ka saliqa nahin na-danon ko Aai aawaz gham-angez hai afsana tera Ashk-e-betab se labrez hai paimana tera Aasman-gir hua nara-e-mastana tera Kis qadar shoKH-zaban hai dil-e-diwana tera Shukr shikwe ko kiya husn-e-ada se tu ne Ham-suKHan kar diya bandon ko KHuda se tu ne Hum to mail-ba-karam hain koi sail hi nahin Rah dikhlaen kise rah-raw-e-manzil hi nahin Tarbiyat aam to hai jauhar-e-qabil hi nahin Jis se tamir ho aadam ki ye wo gil hi nahin Koi qabil ho to hum shan-e-kai dete hain DhunDne walon ko duniya bhi nai dete hain Hath be-zor hain ilhad se dil KHugar hain Ummati bais-e-ruswai-e-paighambar hain But-shikan uTh gae baqi jo rahe but-gar hain Tha brahim pidar aur pisar aazar hain Baada-asham nae baada naya KHum bhi nae Haram-e-kaba naya but bhi nae tum bhi nae Wo bhi din the ki yahi maya-e-ranai tha Nazish-e-mausam-e-gul lala-e-sahrai tha Jo musalman tha allah ka saudai tha Kabhi mahbub tumhaara yahi harjai tha Kisi yakjai se ab ahd-e-ghulami kar lo Millat-e-ahmad-e-mursil ko maqami kar lo Kis qadar tum pe giran subh ki bedari hai Hum se kab pyar hai han nind tumhein pyari hai Tab-e-azad pe qaid-e-ramazan bhaari hai Tumhin kah do yahi aain-e-wafadari hai Qaum mazhab se hai mazhab jo nahin tum bhi nahin Jazb-e-baham jo nahin mahfil-e-anjum bhi nahin Jin ko aata nahin duniya mein koi fan tum ho Nahin jis qaum ko parwa-e-nasheman tum ho Bijliyan jis mein hon aasuda wo KHirman tum ho Bech khate hain jo aslaf ke madfan tum ho Ho niko nam jo qabron ki tijarat kar ke Kya na bechoge jo mil jaen sanam patthar ke Safha-e-dahr se baatil ko miTaya kis ne Nau-e-insan ko ghulami se chhuDaya kis ne Mere kabe ko jabinon se basaya kis ne Mere quran ko sinon se lagaya kis ne The to aaba wo tumhaare hi magar tum kya ho Hath par hath dhare muntazir-e-farda ho Kya kaha bahr-e-musalman hai faqat wada-e-hur Shikwa beja bhi kare koi to lazim hai shuur Adl hai fatir-e-hasti ka azal se dastur Muslim aain hua kafir to mile hur o qusur Tum mein huron ka koi chahne wala hi nahin Jalwa-e-tur to maujud hai musa hi nahin Manfat ek hai is qaum ka nuqsan bhi ek Ek hi sab ka nabi din bhi iman bhi ek Haram-e-pak bhi allah bhi quran bhi ek Kuchh baDi baat thi hote jo musalman bhi ek Firqa-bandi hai kahin aur kahin zaten hain Kya zamane mein panapne ki yahi baaten hain Kaun hai tarik-e-ain-e-rasul-e-muKHtar Maslahat waqt ki hai kis ke amal ka mear Kis ki aankhon mein samaya hai shiar-e-aghyar Ho gai kis ki nigah tarz-e-salaf se be-zar Qalb mein soz nahin ruh mein ehsas nahin Kuchh bhi paigham-e-mohammad ka tumhein pas nahin Ja ke hote hain masajid mein saf-ara to gharib Zahmat-e-roza jo karte hain gawara to gharib Nam leta hai agar koi hamara to gharib Parda rakhta hai agar koi tumhaara to gharib Umara nashsha-e-daulat mein hain ghafil hum se Zinda hai millat-e-baiza ghoraba ke dam se Waiz-e-qaum ki wo puKHta-KHayali na rahi Barq-e-tabi na rahi shola-maqali na rahi Rah gai rasm-e-azan ruh-e-bilali na rahi Falsafa rah gaya talqin-e-ghazali na rahi Masjiden marsiyan-KHwan hain ki namazi na rahe Yani wo sahib-e-ausaf-e-hijazi na rahe Shor hai ho gae duniya se musalman nabud Hum ye kahte hain ki the bhi kahin muslim maujud Waza mein tum ho nasara to tamaddun mein hunud Ye musalman hain jinhen dekh ke sharmaen yahud Yun to sayyad bhi ho mirza bhi ho afghan bhi ho Tum sabhi kuch ho batao to musalman bhi ho Dam-e-taqrir thi muslim ki sadaqat bebak Adl us ka tha qawi laus-e-maraat se pak Shajar-e-fitrat-e-muslim tha haya se namnak Tha shujaat mein wo ek hasti-e-fauq-ul-idrak KHud-gudazi nam-e-kaifiyat-e-sahba-yash bud KHali-az-KHesh shudan surat-e-mina-yash bud Har musalman rag-e-baatil ke liye nashtar tha Us ke aaina-e-hasti mein amal jauhar tha Jo bharosa tha use quwwat-e-bazu par tha Hai tumhein maut ka Dar us ko KHuda ka Dar tha Bap ka ilm na beTe ko agar azbar ho Phir pisar qabil-e-miras-e-pidar kyunkar ho Har koi mast-e-mai-e-zauq-e-tan-asani hai Tum musalman ho ye andaz-e-musalmani hai Haidari faqr hai ne daulat-e-usmani hai Tum ko aslaf se kya nisbat-e-ruhani hai Wo zamane mein muazziz the musalman ho kar Aur tum KHwar hue tarik-e-quran ho kar Tum ho aapas mein ghazabnak wo aapas mein rahim Tum KHata-kar o KHata-bin wo KHata-posh o karim Chahte sab hain ki hon auj-e-surayya pe muqim Pahle waisa koi paida to kare qalb-e-salim TaKHt-e-faghfur bhi un ka tha sarir-e-kae bhi Yun hi baaten hain ki tum mein wo hamiyat hai bhi KHud-kushi shewa tumhaara wo ghayur o KHuddar Tum uKHuwwat se gurezan wo uKHuwwat pe nisar Tum ho guftar sarapa wo sarapa kirdar Tum taraste ho kali ko wo gulistan ba-kanar Ab talak yaad hai qaumon ko hikayat un ki Naqsh hai safha-e-hasti pe sadaqat un ki Misl-e-anjum ufuq-e-qaum pe raushan bhi hue But-e-hindi ki mohabbat mein birhman bhi hue Shauq-e-parwaz mein mahjur-e-nasheman bhi hue Be-amal the hi jawan din se bad-zan bhi hue In ko tahzib ne har band se aazad kiya La ke kabe se sanam-KHane mein aabaad kiya Qais zahmat-kash-e-tanhai-e-sahra na rahe Shahr ki khae hawa baadiya-paima na rahe Wo to diwana hai basti mein rahe ya na rahe Ye zaruri hai hijab-e-ruKH-e-laila na rahe Gila-e-zaur na ho shikwa-e-bedad na ho Ishq aazad hai kyun husn bhi aazad na ho Ahd-e-nau barq hai aatish-zan-e-har-KHirman hai Aiman is se koi sahra na koi gulshan hai Is nai aag ka aqwam-e-kuhan indhan hai Millat-e-KHatm-e-rusul shola-ba-pairahan hai Aaj bhi ho jo brahim ka iman paida Aag kar sakti hai andaz-e-gulistan paida Dekh kar rang-e-chaman ho na pareshan mali Kaukab-e-ghuncha se shaKHen hain chamakne wali KHas o KHashak se hota hai gulistan KHali Ghul-bar-andaz hai KHun-e-shohda ki lali Rang gardun ka zara dekh to unnabi hai Ye nikalte hue suraj ki ufuq-tabi hai Ummaten gulshan-e-hasti mein samar-chida bhi hain Aur mahrum-e-samar bhi hain KHizan-dida bhi hain SaikDon naKHl hain kahida bhi baalida bhi hain SaikDon batn-e-chaman mein abhi poshida bhi hain NaKHl-e-islam namuna hai birau-mandi ka Phal hai ye saikDon sadiyon ki chaman-bandi ka Pak hai gard-e-watan se sar-e-daman tera Tu wo yusuf hai ki har misr hai kanan tera Qafila ho na sakega kabhi viran tera Ghair yak-bang-e-dara kuch nahin saman tera NaKHl-e-shama asti o dar shola do-resha-e-tu Aaqibat-soz bawad saya-e-andesha-e-tu Tu na miT jaega iran ke miT jaane se Nashsha-e-mai ko talluq nahin paimane se Hai ayan yurish-e-tatar ke afsane se Pasban mil gae kabe ko sanam-KHane se Kashti-e-haq ka zamane mein sahaara tu hai Asr-e-nau-raat hai dhundla sa sitara tu hai Hai jo hangama bapa yurish-e-bulghaari ka Ghafilon ke liye paigham hai bedari ka Tu samajhta hai ye saman hai dil-azari ka Imtihan hai tere isar ka KHuddari ka Kyun hirasan hai sahil-e-faras-e-ada se Nur-e-haq bujh na sakega nafas-e-ada se Chashm-e-aqwam se maKHfi hai haqiqat teri Hai abhi mahfil-e-hasti ko zarurat teri Zinda rakhti hai zamane ko hararat teri Kaukab-e-qismat-e-imkan hai KHilafat teri Waqt-e-fursat hai kahan kaam abhi baqi hai Nur-e-tauhid ka itmam abhi baqi hai Misl-e-bu qaid hai ghunche mein pareshan ho ja RaKHt-bar-dosh hawa-e-chamanistan ho ja Hai tunak-maya tu zarre se bayaban ho ja Naghma-e-mauj hai hangama-e-tufan ho ja Quwwat-e-ishq se har past ko baala kar de Dahr mein ism-e-mohammad se ujala kar de Ho na ye phul to bulbul ka tarannum bhi na ho Chaman-e-dahr mein kaliyon ka tabassum bhi na ho Ye na saqi ho to phir mai bhi na ho KHum bhi na ho Bazm-e-tauhid bhi duniya mein na ho tum bhi na ho KHema-e-aflak ka istada isi nam se hai Nabz-e-hasti tapish-amada isi nam se hai Dasht mein daman-e-kohsar mein maidan mein hai Bahr mein mauj ki aaghosh mein tufan mein hai Chin ke shahr maraqash ke bayaban mein hai Aur poshida musalman ke iman mein hai Chashm-e-aqwam ye nazzara abad tak dekhe Rifat-e-shan-e-rafana-laka-zikrak dekhe Mardum-e-chashm-e-zamin yani wo kali duniya Wo tumhaare shohda palne wali duniya Garmi-e-mehr ki parwarda hilali duniya Ishq wale jise kahte hain bilali duniya Tapish-andoz hai is nam se pare ki tarah Ghota-zan nur mein hai aankh ke tare ki tarah Aql hai teri sipar ishq hai shamshir teri Mere darwesh KHilafat hai jahangir teri Ma-siwa-allah ke liye aag hai takbir teri Tu musalman ho to taqdir hai tadbir teri Ki mohammad se wafa tu ne to hum tere hain Ye jahan chiz hai kya lauh-o-qalam tere hain