khirad mandon se kya puuchhuun ki meri ibtidaa kya hai
— Allama Iqbal
Khirad-mandon se kya poochhoon ki meree ibtidaa kya hai
Ki main is fikr men rahtaa hoon meree intihaa kya hai
Khudee ko kar buland itnaa ki har taqdeer se pahle
Khuda bande se khud poochhe bataa teree razaa kya hai
Maqaam-e-guftugoo kya hai agar main keemiyaa-gar hoon
Yahee soz-e-nafas hai aur meree keemiyaa kya hai
Nazar aa.iin mujhe taqdeer kee gahraa.iyaan is men
Na poochh ai ham-nasheen mujh se wo chashm-e-surma-saa kya hai
Agar hota wo majzoob-e-farangee is zamaane men
To 'iqbaal' us ko samjhaataa maqaam-e-kibriyaa kya hai
Navaa-e-sub.h-gaahee ne jigar Khoon kar diyaa meraa
Khudaayaa jis khataa kee ye sazaa hai wo khataa kya hai