khudii ho ilm se mohkam to gairat e jibriil
— Allama Iqbal
Khudee ho 'ilm se mohkam to ghairat-e-jibreel
Agar ho 'ishq se mohkam to soor-e-israafeel
Azaab-e-daanish-e-haazir se baa-khabar hoon main
Ki main is aag men Daalaa gaya hoon misl-e-khaleel
Fareb-khurda-e-manzil hai kaarvaan varna
Ziyaada raahat-e-manzil se hai nashaat-e-raheel
Nazar nahin to mire halqa-e-sukhan men na baith
Ki nukta-haa-e-khudee hain misaal-e-tegh-e-aseel
Mujhe wo dars-e-farang aaj yaad aate hain
Kahaan huzoor kee lazzat kahaan hijaab-e-daleel
Andheree shab hai judaa apne qaafile se hai too
Tire liye hai miraa shola-e-navaa qindeel
Ghareeb o saada o rangeen hai daastaan-e-haram
Nihaayat is kee husain ibtidaa hai ismaa'eel