khudii wo bahr hai jis kaa koi kinaara nahin
— Allama Iqbal
Khudee wo bahr hai jis kaa koee kinaara naheen
Too aabjoo ise samjhaa agar to chaara naheen
Tilism-e-gumbad-e-gardoon ko toD sakte hain
Zujaaj kee ye imaarat hai sang-e-khaara naheen
Khudee men Doobte hain phir ubhar bhee aate hain
Magar ye hausla-e-mard-e-hech-kaara naheen
Tire maqaam ko anjum-shanaas kya jaane
Ki khaak-e-zinda hai too taaba-e-sitaara naheen
Yaheen bahisht bhee hai huur o jibra.eel bhee hai
Tiree nigah men abhee shokhi-e-nazaara naheen
Mire junoon ne zamaane ko khuub pahchaanaa
Wo pairahan mujhe bakhshaa ki paara paara naheen
Ghazab hai ain-e-karam men bakheel hai fitrat
Ki laal-e-naab men aatish to hai sharaara naheen