ki haq se farishton ne iqbaal ki gammaazii
— Allama Iqbal
Kee haq se farishton ne 'iqbaal' kee ghammaazee
Gustaakh hai kartaa hai fitrat kee hinaa-bandee
Khaakee hai magar is ke andaaz hain aflaakee
Ruumee hai na shaamee hai kaashee na samarqandee
Sikhlaa.ee farishton ko aadam kee taDap us ne
Aadam ko sikhaataa hai aadaab-e-khudaavandee