laa ilaaha illallaah khudii kaa sirr e nihaan laa ilaaha illallaah
— Allama Iqbal
Khudee kaa sirr-e-nihaan laa-ilaaha-illallaah
Khudee hai tegh fasaan laa-ilaaha-illallaah
Ye daur apne baraaheem kee talaash men hai
Sanam-kada hai jahaan laa-ilaaha-illallaah
Kiyaa hai too ne mataa-e-ghuroor kaa sauda
Fareb-e-sood-o-ziyaan laa-ilaaha-illallaah
Ye maal-o-daulat-e-dunya ye rishta o paivand
Butaan-e-vahm-o-gumaan laa-ilaaha-illallaah
Khirad huee hai zamaan o makaan kee zunnaaree
Na hai zamaan na makaan laa-ilaaha-illallaah
Ye naghma fasl-e-gul-o-laala kaa nahin paaband
Bahaar ho ki khizaan laa-ilaaha-illallaah
Agarche but hain jamaa.at kee aasteenon men
Mujhe hai hukm-e-azaan laa-ilaaha-illallaah
KHudi ka sirr-e-nihan la-ilaha-illallah
KHudi hai tegh fasan la-ilaha-illallah
Ye daur apne barahim ki talash mein hai
Sanam-kada hai jahan la-ilaha-illallah
Kiya hai tu ne mata-e-ghurur ka sauda
Fareb-e-sud-o-ziyan la-ilaha-illallah
Ye mal-o-daulat-e-duniya ye rishta o paiwand
Butan-e-wahm-o-guman la-ilaha-illallah
KHirad hui hai zaman o makan ki zunnari
Na hai zaman na makan la-ilaha-illallah
Ye naghma fasl-e-gul-o-lala ka nahin paband
Bahaar ho ki KHizan la-ilaha-illallah
Agarche but hain jamaat ki aastinon mein
Mujhe hai hukm-e-azan la-ilaha-illallah