laa phir ik baar vahii baada o jaam ai saaqii
— Allama Iqbal
Laa phir ik baar vahee baada o jaam ai saaqee
Haath aa jaa.e mujhe meraa maqaam ai saaqee
Tiin sau saal se hain hind ke mai-khaane band
Ab munaasib hai tiraa faiz ho aam ai saaqee
Meree meenaa-e-ghazal men thee zaraa see baaqee
Shekh kahtaa hai ki hai ye bhee haraam ai saaqee
Sher mardon se huaa besha-e-tehqeeq tahee
Rah ga.e suufee o mullaa ke ghulaam ai saaqee
Ishq kee tegh-e-jigar-daar uDaa lee kis ne
Ilm ke haath men khaalee hai niyaam ai saaqee
Siina raushan ho to hai soz-e-sukhan ain-e-hayaat
Ho na raushan to sukhan marg-e-davaam ai saaqee
Too miree raat ko mahtaab se mahroom na rakh
Tire paimaane men hai maah-e-tamaam ai saaqee