lenin ai anfus o aafaaq men paidaa tirii aayaat
— Allama Iqbal
Ai anfus o aafaaq men paidaa tiree aayaat
Haq ye hai ki hai zinda o paa.inda tiree zaat
Main kaise samajhtaa ki too hai yaa ki nahin hai
Har dam mutaghayyar the khirad ke nazriyaat
Mahram nahin fitrat ke surood-e-azlee se
Beenaa-e-kavaakib ho ki daanaa-e-nabaataat
Aaj aankh ne dekhaa to wo 'aalam huaa saabit
Main jis ko samajhtaa tha kaleesaa ke khuraafaat
Ham band-e-shab-o-roz men jakDe hue bande
Too khaaliq-e-aasaar-o-nigaaranda-e-aanaat
Ik baat agar mujh ko ijaazat ho to poochhoon
Hal kar na sake jis ko hakeemon ke maqaalaat
Jab tak main jiyaa khema-e-aflaak ke neeche
KaanTe kee tarah dil men khaTaktee rahi ye baat
Guftaar ke usloob pe qaaboo nahin rahtaa
Jab ruuh ke andar mutalaatum hon khayaalaat
Vo kaun saa aadam hai ki too jis kaa hai maa'bood
Vo aadam-e-khaakee ki jo hai zer-e-samaavaat
Mashriq ke khudaavand safedaan-e-rangee
Maghrib ke khudaavand darakhshanda filizzaat
Europe men bahut raushni-e-ilm-o-hunar hai
Haq ye hai ki be-chashma-e-haivaan hai ye zulmaat
Raanaa.i-e-taameer men raunaq men safaa men
Girjon se kaheen baDh ke hain bankon kee imaaraat
Zaahir men tijaarat hai haqeeqat men juaa hai
Suud ek kaa laakhon ke liye marg-e-mufaajaat
Ye 'ilm ye hikmat ye tadabbur ye hukoomat
Piite hain lahoo dete hain taaleem-e-musaavaat
Bekaaree o 'uryaanee o mai-khvaaree o iflaas
Kyaa kam hain farangee madniyat kee futoohaat
Vo qaum ki faizaan-e-samaavee se ho mahroom
Had us ke kamaalaat kee hai barq o bukhaaraat
Hai dil ke liye maut masheenon kee hukoomat
Ehsaas-e-muravvat ko kuchal dete hain aalaat
Aasaar to kuch kuch nazar aate hain ki aakhir
Tadbeer ko taqdeer ke shaatir ne kiyaa maat
Mai-khaana kee buniyaad men aayaa hai tazalzul
BaiThe hain isee fikr men peeraan-e-kharaabaat
Chehron pe jo surkhee nazar aatee hai sar-e-shaam
Yaa ghaaza hai yaa saaghar o miinaa kee karaamaat
Too qaadir o 'aadil hai magar tere jahaan men
Hain talkh bahut banda-e-mazdoor ke auqaat
Kab Doobegaa sarmaaya-parastee kaa safeena
Duniyaa hai tiree muntazir-e-roz-e-mukaafaat
Ai anfus o aafaq mein paida teri aayat
Haq ye hai ki hai zinda o painda teri zat
Main kaise samajhta ki tu hai ya ki nahin hai
Har dam mutaghayyar the KHirad ke nazriyat
Mahram nahin fitrat ke surud-e-azli se
Bina-e-kawakib ho ki dana-e-nabaatat
Aaj aankh ne dekha to wo 'alam hua sabit
Main jis ko samajhta tha kalisa ke KHurafat
Hum band-e-shab-o-roz mein jakDe hue bande
Tu KHaliq-e-asar-o-nigaranda-e-anat
Ek baat agar mujh ko ijazat ho to puchhun
Hal kar na sake jis ko hakimon ke maqalat
Jab tak main jiya KHema-e-aflak ke niche
KanTe ki tarah dil mein khaTakti rahi ye baat
Guftar ke uslub pe qabu nahin rehta
Jab ruh ke andar mutalatum hon KHayalat
Wo kaun sa aadam hai ki tu jis ka hai ma'bud
Wo aadam-e-KHaki ki jo hai zer-e-samawat
Mashriq ke KHudawand safedan-e-rangi
Maghrib ke KHudawand daraKHshanda filizzat
Europe mein bahut raushni-e-ilm-o-hunar hai
Haq ye hai ki be-chashma-e-haiwan hai ye zulmat
Ranai-e-tamir mein raunaq mein safa mein
Girjon se kahin baDh ke hain bankon ki imaraat
Zahir mein tijarat hai haqiqat mein jua hai
Sud ek ka lakhon ke liye marg-e-mufajat
Ye 'ilm ye hikmat ye tadabbur ye hukumat
Pite hain lahu dete hain talim-e-musawat
Bekari o 'uryani o mai-KHwari o iflas
Kya kam hain farangi madniyat ki futuhat
Wo qaum ki faizan-e-samawi se ho mahrum
Had us ke kamalat ki hai barq o buKHaraat
Hai dil ke liye maut mashinon ki hukumat
Ehsas-e-murawwat ko kuchal dete hain aalat
Aasar to kuch kuch nazar aate hain ki aaKHir
Tadbir ko taqdir ke shatir ne kiya mat
Mai-KHana ki buniyaad mein aaya hai tazalzul
BaiThe hain isi fikr mein piran-e-KHarabaat
Chehron pe jo surKHi nazar aati hai sar-e-sham
Ya ghaza hai ya saghar o mina ki karamat
Tu qadir o 'adil hai magar tere jahan mein
Hain talKH bahut banda-e-mazdur ke auqat
Kab Dubega sarmaya-parasti ka safina
Duniya hai teri muntazir-e-roz-e-mukafat