masjid e qurtuba silsila e roz o shab naqsh gar e haadsaat
— Allama Iqbal
Silsila-e-roz-o-shab naqsh-gar-e-haadsaat
Silsila-e-roz-o-shab asl-e-hayaat-o-mamaat
Silsila-e-roz-o-shab taar-e-hareer-e-do-rang
Jis se banaatee hai zaat apnee qabaa-e-sifaat
Silsila-e-roz-o-shab saaz-e-azal kee fughaan
Jis se dikhaatee hai zaat zer-o-bam-e-mumkinaat
Tujh ko parakhtaa hai ye mujh ko parakhtaa hai ye
Silsila-e-roz-o-shab sairafi-e-kaa.enaat
Too ho agar kam ayaar main hoon agar kam ayaar
Maut hai teree baraat maut hai meree baraat
Tere shab-o-roz kee aur haqeeqat hai kya
Ek zamaane kee rau jis men na din hai na raat
Aani-o-faanee tamaam mojaza-haa-e-hunar
Kaar-e-jahaan be-sabaat kaar-e-jahaan be-sabaat
Avval o aakhir fanaa baatin o zaahir fanaa
Naqsh-e-kuhan ho ki nau manzil-e-aakhir fanaa
Hai magar is naqsh men rang-e-sabaat-e-davaam
Jis ko kiyaa ho kisee mard-e-khuda ne tamaam
Mard-e-khuda kaa amal ishq se saahab farogh
Ishq hai asl-e-hayaat maut hai us par haraam
Tund o subuk-sair hai garche zamaane kee rau
Ishq khud ik sail hai sail ko letaa hai thaam
Ishq kee taqveem men asr-e-ravaan ke sivaa
Aur zamaane bhee hain jin kaa nahin koi naam
Ishq dam-e-jibra.eel ishq dil-e-mustafaa
Ishq khuda kaa rasool ishq khuda kaa kalaam
Ishq kee mastee se hai paikar-e-gil taabnaak
Ishq hai sahbaa-e-khaam ishq hai kaas-ul-karaam
Ishq faqeeh-e-haram ishq ameer-e-junooud
Ishq hai ibnus-sabeel is ke hazaaron maqaam
Ishq ke mizraab se naghma-e-taar-e-hayaat
Ishq se noor-e-hayaat ishq se naar-e-hayaat
Ai haram-e-qurtuba ishq se teraa vajood
Ishq saraapaa davaam jis men nahin raft o buud
Rang ho yaa khisht o sang chang ho yaa harf o saut
Mojaza-e-fan kee hai khoon-e-jigar se numood
Qatra-e-khoon-e-jigar sil ko banaataa hai dil
Khoon-e-jigar se sadaa soz o suroor o surood
Teree fazaa dil-faroz meree navaa seena-soz
Tujh se dilon kaa huzoor mujh se dilon kee kushood
Arsh-e-mo.allaa se kam seena-e-aadam nahin
Garche kaf-e-khaak kee had hai sip.har-e-kabood
Paikar-e-nooree ko hai sajda mayassar to kya
Us ko mayassar nahin soz-o-gudaaz-e-sajood
Kaafir-e-hindi hoon main dekh miraa zauq o shauq
Dil men salaat o durood lab pe salaat o durood
Shauq miree lai men hai shauq miree nai men hai
Naghma-e-allaah-hoo mere rag-o-pai men hai
Teraa jalaal o jamaal mard-e-khuda kee daleel
Vo bhee jaleel o jameel too bhee jaleel o jameel
Teree binaa paa.edaar tere sutoon be-shumaar
Shaam ke sahraa men ho jaise hujoom-e-nukheel
Tere dar-o-baam par vaadee-e-aiman kaa nuur
Teraa minaar-e-buland jalva-gah-e-jibra.eel
MiT nahin saktaa kabhi mard-e-musalmaan ki hai
Us kee azaanon se faash sirr-e-kaleem-o-khaleel
Us kee zameen be-hudood us kaa ufuq be-saghoor
Us ke samundar kee mauj dajla o danyoob o niil
Us ke zamaane ajiib us ke fasaane ghareeb
Ahd-e-kuhan ko diyaa us ne payaam-e-raheel
Saaqi-e-rabaab-e-zauq faaras-e-maidaan-e-shauq
Baada hai us kaa raheeq tegh hai us kee asiil
Mard-e-sipaahee hai wo us kee zirah laa-ilaah
Saaya-e-shamsheer men us kee panah laa-ilaah
Tujh se huaa aashkaar banda-e-momin kaa raaz
Us ke dinon kee tapish us kee shabon kaa gudaaz
Us kaa maqaam-e-buland us kaa khayaal-e-azeem
Us kaa suroor us kaa shauq us kaa niyaaz us kaa naaz
Haath hai allaah kaa banda-e-momin kaa haath
Ghaalib o kaar-aafreen kaar-kushaa kaarsaaz
Khaakee o nooree-nihaad banda-e-maulaa-sifaat
Har do-jahaan se ghanee us kaa dil-e-be-niyaaz
Us kee umeeden qaleel us ke maqaasid jaleel
Us kee adaa dil-fareb us kee nigah dil-navaaz
Aaj bhee is des men aam hai chashm-e-ghazaal
Aur nigaahon ke tiir aaj bhee hain dil-nasheen
Boo-e-yaman aaj bhee us kee havaaon men hai
Rang-e-hijaaz aaj bhee us kee navaaon men hai
Deeda-e-anjum men hai teree zameen aasmaan
Aah ki sadiyon se hai teree fazaa be-azaan
Kaun see vaadee men hai kaun see manzil men hai
Ishq-e-balaa-khez kaa qaafla-e-sakht-jaan
Dekh chukaa almanee shorish-e-islaah-e-deen
Jis ne na chhoDe kaheen naqsh-e-kuhan ke nishaan
Harf-e-ghalat ban ga.ee ismat-e-peer-e-kunisht
Aur huee fikr kee kashti-e-naazuk ravaan
Chashm-e-faraansees bhee dekh chukee inqalaab
Jis se digar-goon huaa maghrabiyon kaa jahaan
Millat-e-roomee-nizhaad kohna-parastee se piir
Lazzat-e-tajdeeda se wo bhee huee phir javaan
Rooh-e-musalmaan men hai aaj vahee iztiraab
Raaz-e-khudaai hai ye kah nahin saktee zabaan
Narm dam-e-guftugoo garm dam-e-justujoo
Razm ho yaa bazm ho paak-dil o paak-baaz
Nuqta-e-parkaar-e-haq mard-e-khuda kaa yaqeen
Aur ye aalam tamaam vahm o tilism o majaaz
Aql kee manzil hai wo ishq kaa haasil hai wo
Halqa-e-aafaaq men garmi-e-mahfil hai wo
Kaaba-e-arbaab-e-fan satvat-e-deen-e-mubeen
Tujh se haram martabat undulusiyon kee zameen
Hai tah-e-gardoon agar husn men teree nazeer
Qalb-e-musalmaan men hai aur nahin hai kaheen
Aah wo mardaan-e-haq wo arabee shahsavaar
Haamil-e-khalq-e-azeem saahab-e-sidq-o-yaqeen
Jin kee hukoomat se hai faash ye ramz-e-ghareeb
Saltanat-e-ahl-e-dil faqr hai shaahee nahin
Jin kee nigaahon ne kee tarbiyat-e-sharq-o-gharb
Zulmat-e-europe men thee jin kee khirad-raah-been
Jin ke lahoo ke tufail aaj bhee hain undulusee
Khush-dil o garam-ikhtilaat saada o raushan-jabeen
Dekhiye is bahr kee tah se uchhaltaa hai kya
Gumbad-e-neelofaree rang badaltaa hai kya
Vaadi-e-koh-saar men gharq-e-shafaq hai sahaab
Laal-e-badakhshaan ke Dher chhoD gaya aaftaab
Saada o pur-soz hai dukhtar-e-dahqaan kaa giit
Kashtee-e-dil ke liye sail hai ahd-e-shabaab
Aab-e-ravaan-e-kabeer tere kinaare koi
Dekh raha hai kisee aur zamaane kaa khvaab
Aalam-e-nau hai abhee parda-e-taqdeer men
Meree nigaahon men hai us kee sahar be-hijaab
Parda uThaa duun agar chehra-e-afkaar se
Laa na sakegaa farang meree navaaon kee taab
Jis men na ho inqalaab maut hai wo zindagee
Rooh-e-umam kee hayaat kashmakash-e-inqilaab
Soorat-e-shamsheer hai dast-e-qazaa men wo qaum
Kartee hai jo har zamaan apne amal kaa hisaab
Naqsh hain sab naa-tamaam khoon-e-jigar ke baghair
Naghma hai sauda-e-khaam khoon-e-jigar ke baghair
Silsila-e-roz-o-shab naqsh-gar-e-hadsat
Silsila-e-roz-o-shab asl-e-hayat-o-mamat
Silsila-e-roz-o-shab tar-e-harir-e-do-rang
Jis se banati hai zat apni qaba-e-sifat
Silsila-e-roz-o-shab saz-e-azal ki fughan
Jis se dikhati hai zat zer-o-bam-e-mumkinat
Tujh ko parakhta hai ye mujh ko parakhta hai ye
Silsila-e-roz-o-shab sairafi-e-kaenat
Tu ho agar kam ayar main hun agar kam ayar
Maut hai teri baraat maut hai meri baraat
Tere shab-o-roz ki aur haqiqat hai kya
Ek zamane ki rau jis mein na din hai na raat
Aani-o-fani tamam mojaza-ha-e-hunar
Kar-e-jahan be-sabaat kar-e-jahan be-sabaat
Awwal o aaKHir fana baatin o zahir fana
Naqsh-e-kuhan ho ki nau manzil-e-aKHir fana
Hai magar is naqsh mein rang-e-sabaat-e-dawam
Jis ko kiya ho kisi mard-e-KHuda ne tamam
Mard-e-KHuda ka amal ishq se sahab farogh
Ishq hai asl-e-hayat maut hai us par haram
Tund o subuk-sair hai garche zamane ki rau
Ishq KHud ek sail hai sail ko leta hai tham
Ishq ki taqwim mein asr-e-rawan ke siwa
Aur zamane bhi hain jin ka nahin koi nam
Ishq dam-e-jibrail ishq dil-e-mustafa
Ishq KHuda ka rasul ishq KHuda ka kalam
Ishq ki masti se hai paikar-e-gil tabnak
Ishq hai sahba-e-KHam ishq hai kas-ul-karam
Ishq faqih-e-haram ishq amir-e-junuud
Ishq hai ibnus-sabil is ke hazaron maqam
Ishq ke mizrab se naghma-e-tar-e-hayat
Ishq se nur-e-hayat ishq se nar-e-hayat
Ai haram-e-qurtuba ishq se tera wajud
Ishq sarapa dawam jis mein nahin raft o bud
Rang ho ya KHisht o sang chang ho ya harf o saut
Mojaza-e-fan ki hai KHun-e-jigar se numud
Qatra-e-KHun-e-jigar sil ko banata hai dil
KHun-e-jigar se sada soz o surur o surud
Teri faza dil-faroz meri nawa sina-soz
Tujh se dilon ka huzur mujh se dilon ki kushud
Arsh-e-moalla se kam sina-e-adam nahin
Garche kaf-e-KHak ki had hai siphar-e-kabud
Paikar-e-nuri ko hai sajda mayassar to kya
Us ko mayassar nahin soz-o-gudaz-e-sajud
Kafir-e-hindi hun main dekh mera zauq o shauq
Dil mein salat o durud lab pe salat o durud
Shauq meri lai mein hai shauq meri nai mein hai
Naghma-e-allah-hu mere rag-o-pai mein hai
Tera jalal o jamal mard-e-KHuda ki dalil
Wo bhi jalil o jamil tu bhi jalil o jamil
Teri bina paedar tere sutun be-shumar
Sham ke sahra mein ho jaise hujum-e-nuKHil
Tere dar-o-baam par wadi-e-aiman ka nur
Tera minar-e-buland jalwa-gah-e-jibrail
MiT nahin sakta kabhi mard-e-musalman ki hai
Us ki azanon se fash sirr-e-kalim-o-KHalil
Us ki zamin be-hudud us ka ufuq be-saghur
Us ke samundar ki mauj dajla o danyub o nil
Us ke zamane ajib us ke fasane gharib
Ahd-e-kuhan ko diya us ne payam-e-rahil
Saqi-e-rabab-e-zauq faras-e-maidan-e-shauq
Baada hai us ka rahiq tegh hai us ki asil
Mard-e-sipahi hai wo us ki zirah la-ilah
Saya-e-shamshir mein us ki panah la-ilah
Tujh se hua aashkar banda-e-momin ka raaz
Us ke dinon ki tapish us ki shabon ka gudaz
Us ka maqam-e-buland us ka KHayal-e-azim
Us ka surur us ka shauq us ka niyaz us ka naz
Hath hai allah ka banda-e-momin ka hath
Ghaalib o kar-afrin kar-kusha karsaz
KHaki o nuri-nihad banda-e-maula-sifat
Har do-jahan se ghani us ka dil-e-be-niyaz
Us ki umiden qalil us ke maqasid jalil
Us ki ada dil-fareb us ki nigah dil-nawaz
Aaj bhi is des mein aam hai chashm-e-ghazal
Aur nigahon ke tir aaj bhi hain dil-nashin
Bu-e-yaman aaj bhi us ki hawaon mein hai
Rang-e-hijaz aaj bhi us ki nawaon mein hai
Dida-e-anjum mein hai teri zamin aasman
Aah ki sadiyon se hai teri faza be-azan
Kaun si wadi mein hai kaun si manzil mein hai
Ishq-e-bala-KHez ka qafla-e-saKHt-jaan
Dekh chuka almani shorish-e-islah-e-din
Jis ne na chhoDe kahin naqsh-e-kuhan ke nishan
Harf-e-ghalat ban gai ismat-e-pir-e-kunisht
Aur hui fikr ki kashti-e-nazuk rawan
Chashm-e-faransis bhi dekh chuki inqalab
Jis se digar-gun hua maghrabiyon ka jahan
Millat-e-rumi-nizhad kohna-parasti se pir
Lazzat-e-tajdida se wo bhi hui phir jawan
Ruh-e-musalman mein hai aaj wahi iztirab
Raaz-e-KHudai hai ye kah nahin sakti zaban
Narm dam-e-guftugu garm dam-e-justuju
Razm ho ya bazm ho pak-dil o pak-baz
Nuqta-e-parkar-e-haq mard-e-KHuda ka yaqin
Aur ye aalam tamam wahm o tilism o majaz
Aql ki manzil hai wo ishq ka hasil hai wo
Halqa-e-afaq mein garmi-e-mahfil hai wo
Kaba-e-arbab-e-fan satwat-e-din-e-mubin
Tujh se haram martabat undulusiyon ki zamin
Hai tah-e-gardun agar husn mein teri nazir
Qalb-e-musalman mein hai aur nahin hai kahin
Aah wo mardan-e-haq wo arabi shahsawar
Hamil-e-KHalq-e-azim sahab-e-sidq-o-yaqin
Jin ki hukumat se hai fash ye ramz-e-gharib
Saltanat-e-ahl-e-dil faqr hai shahi nahin
Jin ki nigahon ne ki tarbiyat-e-sharq-o-gharb
Zulmat-e-europe mein thi jin ki KHirad-rah-bin
Jin ke lahu ke tufail aaj bhi hain undulusi
KHush-dil o garam-iKHtilat sada o raushan-jabin
Dekhiye is bahr ki tah se uchhalta hai kya
Gumbad-e-nilofari rang badalta hai kya
Wadi-e-koh-sar mein gharq-e-shafaq hai sahab
Lal-e-badaKHshan ke Dher chhoD gaya aaftab
Sada o pur-soz hai duKHtar-e-dahqan ka git
Kashti-e-dil ke liye sail hai ahd-e-shabab
Aab-e-rawan-e-kabir tere kinare koi
Dekh raha hai kisi aur zamane ka KHwab
Aalam-e-nau hai abhi parda-e-taqdir mein
Meri nigahon mein hai us ki sahar be-hijab
Parda uTha dun agar chehra-e-afkar se
La na sakega farang meri nawaon ki tab
Jis mein na ho inqalab maut hai wo zindagi
Ruh-e-umam ki hayat kashmakash-e-inqilab
Surat-e-shamshir hai dast-e-qaza mein wo qaum
Karti hai jo har zaman apne amal ka hisab
Naqsh hain sab na-tamam KHun-e-jigar ke baghair
Naghma hai sauda-e-KHam KHun-e-jigar ke baghair