mataa e be bahaa hai dard o soz e aarzuumandii
— Allama Iqbal
Mataa-e-be-bahaa hai dard-o-soz-e-aarzoomandee
Maqaam-e-bandagee de kar na luun shaan-e-khudaavandee
Tire aazaad bandon kee na ye Dunya na wo Dunya
Yahaan marne kee paabandee vahaan jiine kee paabandee
Hijaab ikseer hai aavaara-e-koo-e-mohabbat ko
Miree aatish ko bhaDkaatee hai teree der-paivandee
Guzar-auqaat kar letaa hai ye koh o bayaabaan men
Ki shaaheen ke liye zillat hai kaar-e-aashiyaan-bandee
Ye faizaan-e-nazar thaa yaa ki maktab kee karaamat thee
Sikhaa.e kis ne ismaa.eel ko aadaab-e-farzandee
Ziyaarat-gaah-e-ahl-e-azm-o-himmat hai lahad meree
Ki khaak-e-raah ko main ne bataayaa raaz-e-alvandee
Miree mashshaatgee kee kya zaroorat husn-e-ma.anee ko
Ki fitrat khud-ba-khud kartee hai laale kee hinaa-bandee