mujhe aah o fugaan e niim shab kaa phir payaam aayaa
— Allama Iqbal
Mujhe aah-o-fughaan-e-neem-shab kaa phir payaam aayaa
Tham ai rah-rau ki shaayad phir koee mushkil maqaam aayaa
Zaraa taqdeer kee gahraa.iyon men Doob jaa too bhee
Ki is jangaah se main ban ke tegh-e-be-niyaam aayaa
Ye misraa likh diyaa kis shokh ne mehraab-e-masjid par
Ye naadaan gir ga.e sajdon men jab vaqt-e-qayaam aayaa
Chal ai meree ghareebee kaa tamaashaa dekhne vaale
Wo mahfil uTh ga.ee jis dam to mujh tak daur-e-jaam aayaa
Diyaa 'iqbaal' ne hindee musalmaanon ko soz apna
Ye ik mard-e-tan-aasaan thaa tan-aasaanon ke kaam aayaa
Usee 'iqbaal' kee main justujoo kartaa raha barson
BaDee muddat ke ba.ad aakhir wo shaaheen zer-e-daam aayaa