musalmaan ke lahuu men hai saliiqa dil navaazii kaa
— Allama Iqbal
Musalmaan ke lahoo men hai saleeqa dil-navaazee kaa
Muravvat husn-e-'aalam-geer hai mardaan-e-ghaazee kaa
Shikaayat hai mujhe yaa rab khudaavandaan-e-maktab se
Sabaq shaaheen-bachon ko de rahe hain khaak-baazee kaa
Bahut muddat ke nakhcheeron kaa andaaz-e-nigah badlaa
Ki main ne faash kar Daalaa tareeqa shaah-baazee kaa
Qalandar juz do harf-e-laa-ilaah Kuch bhee naheen rakhtaa
Faqeeh-e-shahr qaaroon hai lughat-haa-e-hijaazee kaa
Hadees-e-baada-o-meenaa-o-jaam aatee naheen mujh ko
Na kar khaaraa-shigaafon se taqaazaa sheesha-saazee kaa
Kahaan se too ne ai 'iqbaal' seekhee hai ye darveshee
Ki charchaa paadshaahon men hai teree be-niyaazee kaa