na tuu zameen ke liye hai na aasmaan ke liye

Allama Iqbal

Na too zameen ke liye hai na aasmaan ke liye Jahaan hai tere liye too naheen jahaan ke liye Ye aql o dil hain sharar shola-e-mohabbat ke Wo khaar-o-khas ke liye hai ye neestaan ke liye Maqaam-e-parvarish-e-aah-o-laala hai ye chaman Na sair-e-gul ke liye hai na aashiyaan ke liye Rahegaa raavee o niil o furaat men kab tak Tiraa safeena ki hai bahr-e-be-karaan ke liye Nishaan-e-raah dikhaate the jo sitaaron ko Taras ga.e hain kisee mard-e-raah-daan ke liye Nigah buland sukhan dil-navaaz jaan pur-soz Yahee hai rakht-e-safar meer-e-kaarvaan ke liye Zaraa see baat thee andesha-e-ajam ne use BaDhaa diyaa hai faqat zeb-e-daastaan ke liye Mire guloo men hai ik naghma jibra.eel-aashob Sambhaal kar jise rakkhaa hai laa-makaan ke liye