nigaah e faqr men shaan e sikandarii kya hai

Allama Iqbal

Nigaah-e-faqr men shaan-e-sikandaree kya hai Khiraaj kee jo gadaa ho wo qaisaree kya hai Buton se tujh ko umeeden khuda se naumeedee Mujhe bataa to sahee aur kaafiree kya hai Falak ne un ko ataa kee hai khvaajgee ki jinhen Khabar naheen ravish-e-banda-parvaree kya hai Faqat nigaah se hota hai faisla dil kaa Na ho nigaah men shokhee to dilbaree kya hai Isee khataa se itaab-e-mulook hai mujh par Ki jaantaa hoon ma.aal-e-sikandaree kya hai Kise naheen hai tamannaa-e-sarvaree lekin Khudee kee maut ho jis men wo sarvaree kya hai Khush aa ga.ee hai jahaan ko qalandaree meree Vagarna sher miraa kya hai shaa.iree kya hai