pareshaan ho ke meri khaak aakhir dil na ban jaae

Allama Iqbal

Pareshaan ho ke meree khaak aakhir dil na ban jaa.e Jo mushkil ab hai yaa rab phir vahee mushkil na ban jaa.e Na kar den mujh ko majboor-e-navaa firdaus men hooren Miraa soz-e-daroon phir garmi-e-mahfil na ban jaa.e Kabhi chhoDee huee manzil bhee yaad aatee hai raahee ko KhaTak see hai jo siine men gham-e-manzil na ban jaa.e Banaayaa ishq ne Dariya-e-naa-paidaa-karaan mujh ko Ye meree khud-nigah-daaree miraa saahil na ban jaa.e Kaheen is aalam-e-be-rang-o-boo men bhee talab meree Vahee afsaana-e-dumbaala-e-mahmil na ban jaa.e Urooj-e-aadam-e-khaakee se anjum sahme jaate hain Ki ye TuuTaa huaa taaraa mah-e-kaamil na ban jaa.e